A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 10:30:00 AM by shayarkishayari in ,    No comments



To Be Continued.........


BARKAT WALA DARAKHT.


Hazrat Umme Ma'bad Ki Bahen Ki Sahabzadi Hazrat Hind ka Bayan hai Ke Ek Martaba Allah Ke Rasool ﷺ Mere Kheme Me Tashrif Laye, Kuch Der Aaram Farmane Ke bad Jab Bedar Huwe To Pani Talab Farmaya Apne Dono Hatho Ko Dhoya Aur Kulli Farmayi...

Kheme Ke Bahar Jhadiyo Me Jaha par Huzur ﷺ ne Kulli Ka Pani Dala tha Subha Humne Dekha to Waha Ek Ajeeb Kism Ka Darakht Paida ho Gaya Jisme Bade Bade Phal Lage Huwe Hai Jinme Ambar Jesi Khooshbu Aur Sehad Jesi Mithas hai..

Un Phalo me Ye Khasiyat thi Ke Agar Bhooka Khata To Sair Ho Jaye Aur Pyasa Khaye to Sairab ho Jaye Beemar Khaye to Shifayab Ho Jaye Aur Koi Ount Ya Bakri Uska Phal Kha le To Uska Doodh Zyada ho Jaye Humne Uska Naam Shajr-E-Mubarika(Barkat Wala Darakht) Rakha tha...

Aetraf Wa Jawanib Se Qaseer Ta'dat me Log Aate the Aur Usse Faiz Hasil Karte the, Achanak Ek Subha ko Humne Dekha ke Us Darakht ke Tamam Phal Gir Gaye Hai Aur Patte Sukhe Huwe hai Hum Log Bahut Pareshan Huwe Esa Kyo Huwa ??

Itne me Ittela Mili Ke Allah Ke Pyare Habib ﷺ Ka Wisal Ho Gaya hai Fir Kuch Dino bad Darakht me Naye Patte Aa gaye Phal Bhi Lag Gaye....

Is Waqiye ke 30 Baras Ba'ad Ek Subha ko Fir Humne Dekha Us Darakht ke Tane se Lekar Upar Tak Kaante Paida Ho Gaye Aur Phal Gir Gaye Hai Hum Log Sakht Tashwish me Mubtila Ho Gaye ki Zarur koi Hadsa Huwa hai...

Waha Tak Ittela Mili ke Hazrat Ali-E-Murtuza رضی الله عنہ Ne Sahadat Ka Jaam Nosh Farma Liya hai, Uske Bad Us Darakht me Phal nahi Lage Mehaz Patte Baki Reh Gaye Hum Log Unhi Patto se Faiz Hasil Karte Rahe..

Kuch Dino Bad Ek Subha ko Humne Ye Dekha Ke Us Mubarak Darakht Se Taaza Khoon Jari hai Patte Sukhkar Gir Gaye Hum Logo ne Gumaan kiya Ke Shayad Fir koi Bada Hadsa Ru'nooma Huwa hai, Din Isi Wehshat Aur Pareshani Ke Aalam Me Guzra Raat ke Waqt Us Darakht se Rone ki Aawaz Aayu Jisse Hum Logo Ki Wehshat Aur Badh Gayi..

Yaha Tak Ke Dusre Din Ittela Mili ke Saiyedna Imam-E-Hussain رضی الله عنہ Aur Apke Ahle Bait Aur Dusre Sathiyo Ko 3 Din ki Bhook-Wa-Pyaas Ke Aalam Me Medane Karbala Me Yazeediyo Ne Saheed Kar Diya Fir Wo Darakht Kabhi Shadab(Hara) Nahi Huwa....

Allahu Akbar..

SAFED KABOOTAR


Jis Waqt Saiyedna Imame Hussain رضی الله عنہ Ne Sahadat Payi, Ek Safed Kabootar Udta Huwa Aaya Aur Apne Baal-Wa-Parr Ko Imam-E-Aali Maqam Ke Khoon me Tarr kiya Aur Udd Gaya...

Hatta ke Ye Kabootar Udta Huwa Madina Taiyeba Pahucha Tawaf Jese Andaz me Huzur ﷺ Ke Roza-E-Paak Ke Gird Udta tha Aur Uske Paro se Khoon Ke Katrat Tapak Rahe the...

Ahle Madina Uski Ye Kefiyat Dekhkar Hairan The Ke Muammla Kya hai Aur Jab Kuch Dino Ke Bad Unhe Imame Aali Maqam ki Sahadat ki Khabar Mili to Unhone Samjha Ke Sabse Pehle Zahiri Tor pe Ye Khabar Pahuchane ke Liye Ye Kabootar Hazir Huwa hai...

Buzurgo ne Irshad Farmaya Ke Surkh Rang ke Jo Kabootar Aaj Paye Jate hai Wo Usi Kabootar ki Nasl se hai...


AJEEB PARINDA.


Kanzul Garaeeb Ke Hawale se "SAHIBE ROZATUSH SOHDA" Likhte hai,

Ek Yahoodi Tha Uski Ladki Zahiri Shakl Wa Soorat me Bahut Achi thi Lekin Achanak Wo Nabina Ho Gayi Aur Hatho-Wa-Pero me Kodh Ka Marz Ho Gaya, Muhalla Wa Pados ke Log Is Ladki ko Shadeed Nafrat ki Nigah se Dekhte The, Yaha Tak ke Yahoodi Apni Ladki ko Lekar Sehar se Bahar Apne Ek Baagh Me Mukeem Ho Gaya..

Din Bhar Sehar me Karobar Karta Shaam ko Baag me Ladki ke Pas Aa jata Ek Din Ittefaq Esa Huwa ke Yahoodi Karobar me Itna Masroof Ho Gaya Shaam ko Baag me Wapas na Aa saka..

Ladki ne Tanha Ek Darakht ke Niche Raat Guzari Subha Us Ladki ne Kareeb hi Ek Darakht Par Ek Parinde ki Giryazari Ki Dardnaak Aawaz Suni...

Use Taabe Zabt na Rahi Kisi Trah Ghasitti Huyi Us Darakht ke Niche Pahuchi Agarche Nabina thi Lekin Apne Ser ko Upar ki Janib Uthakar Rone Wale Parinde ki Janib Mutawajjah Ho Gayi..

Achanak Us Parinde Ke Parr se Khoon Ka Ek Garam Qatra Uski Dahini Aankh Me Tapka Uski Wo Aankh Roshan Ho Gayi..

Fir Khoon ka Ek Qatra Uske Dahine Hath Par Tapka Wo Hath Durust ho Gaya Ladki ne Ye Kefiyat Dekhkar Baya Hath Fela Diya Uspar Bhi Ek Qatra Tapka wo Hath Bhi Durust ho Gaya Is
Qatra-E-Khoon Ko Ladki ne Apni Bayi Aankh Par Mall Liya Wo Aankh bhi Roshan Ho Gayi...

Iske Bad Ladki ne Kuch Qatro Apne Hatho Par Lekar Pure Badan Par Laga Liya Jisse Wo Pure Tor par Sehatyaab Ho Gayi Goya Koi Marz Tha hi Nahi....

Parinde Ne Kalam Kiya ke Aye Yahoodi Hum parindo Ki Ek Jama'at Fula Jungle Me Rehti thi, Humara Ma'mool Tha Ke Subha Apne Ghoslo Se Uddkar Atraf Wa Jawanib Me Chale Jate Aur Dana Pani Hasil Karne ke Bad Dophar Tak Apne Ghoslo Me Wapas aa Jate Aur Jisne Jo Kuch Khaya Piya ho Wo Apas me Ek Dusre ko Khabar Dete...

Achanak Ek Din Humne Ek Nida(Awaz) Suni Ke Nawasa-E-Rasool Imam-E-Hussainرضی الله عنہ Ne Tapti Huyi Dophar me Karbala Ki Sarzameen Par Sahadat ka Jaam Nosh Kiya hai Aur Aye Parindo Tum Darakhto Ke Saye Me Bethkar Aaram Kar Rahe ho....

Ye Aawaz Sunkar Hum Tamam Parinde Karbala Ki Sarzameen Ki Taraf Rawana Ho Gaye Jis Waqt Hum Waha Pahuche Dekha Ke Jigar Gosha-E-Rasool Saiyedna Imam-E-Hussain رضی الله عنہ Saheed Ho Chuke hai Aur Unke Jism Sharif se Abhi Tak Taza Khoon Jari hai...

Ye Kefiyat Dekhkar Tamam Parinde Girya-Zari Me Mashgool Ho Gaye Mujme Taab-E-Zabt na Rahi Mene Apne Aap ko Unke Behne Wale Khoon Sharif me Gira Diya Apne Chehre Apne Baal-Wa-Parr ko Khoon me Tarr kiya Aur Waha se Udkar Yaha Aa gaya hu,
Aur Is Mubarak Khoon Sharif ke Qatre Jaha par Tapakte the Waha Khair-O-Barkat ka Zahoor Hota hai...

Parinde ki Zuban Se Ye Guftagu Sunkar Yahoodi ne Kaha Agar Imam Hussain رضی الله عنہ Ke Nana Janab Muhammad Mustafaﷺ Haq Par Na Hote to Unke Nawase Imam-E-Hussain رضی الله عنہ Ke Khoone Paak Ke Qatro Se Esi Khair-O-Barkat ka Zahoor na Hota..

Aur Meri Apahiz Beti Ko Shifa na Milti Chunache Yahoodi Apne Pure Ghar ke Sath Musharraf-Ba-Islam Ho Gaya Aur Kabhi Koi Uske Islam Lane ki Wajah Puchta to Is Waqiye Ko bahut Tafseel Se Bayan Karta....

JARI RAHEGA.... Part-3