A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 9:30:00 AM by shayarkishayari in ,    No comments

GOSHT KHOON BAN GAYA...

Cont..

Din Bhar Safar Karne Ke Bad Shaam ko Jab Yazeedi Apni Pehli Manzil Par Theharte Hai To Ahle Baite Athar Se Cheena Huwa Ek Ount Zibah Kiya Lekin Jab Khane Bethe to Sara Gosht Khoon Ban Gaya Aur Usse Aag Ke Bhadakte Huwe Shole Nikalne Lage Nachar Khajur ka Shira Pikar Raat Guzari Aur Subha Fir Rawana Ho Gaye..

GAYBI HATH.


Aaj Jab In Zaleem Yazidiyo ne Dusri Manzil Par Qayam Kiya To Samne Hi Ek Girza Nazar Aaya Lihaza Jin Nezo Par Ye Zaleem Sohda Ke Sero ko Uthaye Huwe The, Unhe Bajaye Zameen Par Ghadne Ke Ya Kisi Dusre Maqam Par Rakhne Ke Lejakar Girze Ki Deewar Par Tikakar Khada Kar Diya Sohda-E-Kiram ke Ser-E-Muqaddas se Barabar Khoon ke Qatre Tapak-Tapak Kar Unki Hayate Javeda Ka Saboot Pesh Kar Rahe the,

Achanak Girze ki Deewar Shaak Ho Gayi Aur Usse Ek Hath Namoodar Huwa Jisme Lohe ka Kalam Tha, Us Hath ne Lohe Ke Kalam Ko Sohda Ke Khoon Me Dubokar Girze Ki Deewar Par Ye Sher Likha...

ATRAJU AMAT QATLAT HUSSAINA, SHAFA'ATO JADDEHI YOUMAL HISAB...

Tarjuma:-

KIYA HAI QATL JINHONE HUSSAIN PYARE KO HAI KYA UNHE BHI UMMID SHAFA'AT MEHSHAR ME...

Jab Yazeediyo ne Is Sher ko Padha Aur Apne Bhayanak Anjam Par Gour kiya To Saraseema Ho Gaye Aur Ghabrakar Yaha se bhi Aage Ki Janib Nikal Gaye...


Jab Yazeedi Apni Teesri Manzil Par Pahoche To Waha bhi Ek Girza Dekha Aur Ye Sher Uski Deewar Par Pehle Se Hi Likha Huwa tha Padri ko Bulakar Pucha Ke Girze ki Deewar par Ye Sher Kisne Likha hai?? Aur Kab Likha hai???

Padri ne Jawab Diya Ke Is Zamane Ka Likha Huwa Nahi hai Balke me Apne Aaba-Wa-Ajdad Se Sunta Aya Hu Ke Nabi-E-Akhiruzzama Ki Pedaish Se 500 Saal Pehle Ye Sher Is Girza ki Deewar Par Likha Paya gaya hai Aur Us Waqt Se Lekar Aaj Tak Wesa Hi Moujood hai..

Lekin Tum Log Ye Batao Ke Tum Koun ho ?? Aur Is Sher Ke Mutallik Kyo Dariyaft Kar Rahe ho Koofiyo ne Jawab Diya Ke Koi Khas Wajah Nahi, Padri Ne Sohda Ke Sero ke Mutallik Pucha Ke Ye Kin Logo ke Ser hai Jinhe Tumne Nezo Par Chada Rakha hai Yazeediyo ne Jawab Diya Ke Ameer'ul'Momineen Yazeed ke Baghiyo Ke Ser hai..

(MAAZ'ALLAH)


PADRI KA MUSALMAN HONA.


Padri ki Nazar Ser-E-Paake Imam Par Padi Aur uspar ek Ajeeb Kefiyat Taari Ho Gayi Us Girje Ke Padri ne Kaha ki Ek Raat ke Liye Ser-E-Imam-E-Paak Muje De Do Uske Badle Me Ap logo ko 10,000 Dirham Dunga....

Duniya ke Kutte Yazeedi 10,000 Dirham Ki Peshkash Ko Thukra Na Sake Aur Thukrate Bhi Kese Jabke Isi Duniyawi Maal-O-Zarr Ki Lalach Me Apne Deen-Wa-Aqibat Ko Tabah-Wa-Barbad Kar Chuke The Turant Raazi Ho Gaye Aur Raat Bhar ke Liye Imam-E-Aali Maqam Ka Ser-E-Paak Us Padri Ke Hawale Kar Diya...

Padri Ne Imam Ke Ser-E-Paak ko Lekar Gulaab-Wa-Kewda Se Dhoya Aur Ek Sandali Chowki Par Mushq-Wa-Ambar Se Bada Huwa Makhmali Gilaf Chadhakar Ser Mubarak Ko Rakh Diya Aur Raatbhar Mu'addab Hokar Hath Bandhe Samne Khada Ye Purkaif Manzar Dekhta Raha Ke..

SER-E-AQDAS SE EK NOOR NIKALKAR AASMAN KI JANIB BULAND HOTA HAI JISSE ZAMEEN-O-AASMAN SARI FIZA MUNAWWAR HO JATI HAI..

Sari Raat Se Subha Tak Anwar-Wa-Tajalliyat Ka Mushaheda Karke Be'sakhta Pukar Utha Ke Aye Ibne Rasool Aap Mare Nahi Balki Zinda hai Aur Us Batpar Gawah Rahiye Ke Me Padhta Hu "Ashhadu An Lailaha Illallahu Wa'Ashhadu Anna Muhammadan Abduhu Wa Rasooluh"

Ser-E-Imame Paak ki Ye Zinda Karamat Nahi To Aur Kya hai Ke Jis Raah se Guzar Ho Raha hai Iman-Wa-Islam Ki Doulat Bantta Ja Raha hai, Gair Muslim Halka Bagoshe Islam Bante Ja Rahe hai Lekin Islam-Wa-Imaan Ke Dawedar Ese Bad Kismat Ke Naapak Duniya ki Hirs-Wa-Hawas Me Deen-Wa-Imaan Ki Doulat Tak Loota Bethe...

JARI RAHEGA....