A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 12:42:00 PM by shayarkishayari in ,    No comments




To Be Continued.......

WAA BUL KHUZAYI.

Waa Bul Khuzayi Ke Ladke ka Bayan hai Ke Inteqal ke Waqt Mere Baap Ka Chehra Siyah(Kala) Ho Gaya Mene Intihayi Raazdari ke Sath Bager Kisi ko Ittela Diye Use Dafan Kar diya Lekin Apne Baap ki Ye Kefiyat Me Bahut Ranjida Aur Malool Rehta tha...

Ek Raat Mene Khawab me Dekha Ke Mere Baap ki Shakal Bahut hi Noorani Ho Gayi hai Aur Umda Safed Noorani Libas Pehne Huwe Hai, Mene Pucha Aye Baap ! ALLAH RABBUL IZZAT NE TERE SATH KYA MUAMMLA KIYA !

Jawab Diya ke Allah Taa'la ne Muje Baksh Diya Mene Kaha ke Marte Waqt Tera Chehra Siyah Aur Zuban Gungi Ho Gayi thi Mere Baap ne Jawab Diya Ke Sharab Pine ki Wajah se Marte Waqt Mera Chehra Siyah ho Gaya tha..

Aur Me Qabr me Isi Halat me Tha ke Allah ke Pyare Habib Janabe Akram Huzure Aqdas ﷺ Tashrif laye Aur Muje Dekhkar Farmaya Tu WAA BUL HAI ?? Mene Adab se Arz kiya Ya Rasoolallah ﷺ Me Waa Bul hi hu,

Sarkare Do Aalam ﷺ Ne Farmaya ke Mere Jigar Goshe Hussain-W-Digar Sohda Ki Sahadat ke Mutallik Tumne Jo Ash'aar Likhe hai Muje Apni Zuban se Suna Sarkare Do Aalam ﷺ Ka Itna Farmana Tha ke Meri Zuban ko Goyayi Mil gayi..

Aur Jo Ash'aar Mene Sohda-E-Karbala ke Mutallik Likhe The Unhe Sarkar Ko Sunaya Allah Ke Pyare Habib ﷺ Un Ash'aar Ko Sunkar Aab Didah Ho Gaye Aur Farmaya ke Tune Sach kaha..

Aur Meri Bakshish ki Duwa ki Jisse Mera Chehra Roshan Ho Gaya Aur Apna Libas Mubarak Muje Inayat Farmaya Jise me Is Waqt Pehne Huwe hu...


JINNO(JINNATO) KA NOHA.

Qabeela Bani Tayy Ke Ek Saksh Ka Bayan hai Ke Mene Jinno Ko Noha Karte Huwe Suna..

TARJUMA:-

Rasoolallah ﷺ Ne Jinki Peshani ka Bosa Diya Jiske Rukhsar-E-Taaba Wa Darkhasa Unke Aaba-Wa-Ajdah Aala-Wa-Akhir Khandan Se Talluk Rakhte hai...

Jab Madina Munawwara Me Baa'az Badbakhto Ne Khutba Dete Huwe Hazrat Imame hussain رضی الله عنہ Ki Sahadat Par Khushi Ka Izhar Kiya to Us Shab Madina Munawwara Me Ma'darja Zail Ye Ash'aar Sunayi Dene Lage, LEKIN INKA PADHNE WALA NAZAR NAHI AATA THA...

AYE IMAM-E-HUSSAIN رضی الله عنہ KO ZIHALAT SE QATL KARNE WALO TUMHE SAKHT RUSWA KUNN AZAB KI KHUSHKHABRI HO, AASMAN ME JITNI BHI MAKHLOOK HAI KHAWAH WO AMBIYA YA MALAIKA SAB TUMPAR HALAKAT KI DUWA KARTE HAI, TUMPAR LAA'NAT BA'ZUBANE SULEMAN IBNE DAWOOD AUR ISA ALEYHISSALAM JO SAHIBE INJEEL HAI....


KARBALA SE KOOFA TAK.

KARBALA SE RAWANGI.

Ibne Sa'ad Ne Gulshane Fatmi Taar'aj Karne ke Bad 12 Muharram Tak Medane Karbala me Thehra Raha, Apne Lashkar Ke Maqtool Jahannamiyo ki Lasho Ko Jama Karke Namaze Janaza Padhi Aur Kafan-Wa-Dafan Ki Rasm Itminan Se Ada ki....

Lekin Us Shaki Azali Ko Ye Toufiq na Huyi Ke Lasha-E-Sohda Ke Kafan-Wa-Dafan ka Intezam Karta, Aur Ye Toufiq Use Naseeb bhi Kese hoti Jab Ke Shaqawat Uske Liye Mukaddar Ho Chuki thi...

Neez Khudaye Kadeer Ko Ye Gawara Na Huwa ke Meri Raah me Saheed Huwe Mere In Mehboob Bando par Yazeediyo ka Koi Bhi Ehsan Rahe, Lihaza Ibne Sa'ad Ya Kisi bhi Yazeedi Ko Is Bat ka Khayal Tak na Aaya...

Ba'az Riwayato se Is Bat ki Sahadat Milti hai Ke Yazeediyo Ke Chale Jane Ke bad Nehre Furat Ke Kinare Aabad "GAZRIYA" Naami Ek Gaanw Ke Log Aaye Aur Bade Adab O Ehtaram K Sath Sohda Ki Lasho Ke Kafan-Wa-Dafan Ki Rasm Ada ki...


Yazeediyo ne Sohda-E-Kiram ke Sero Ko Aaps me Baant liya 12 Ser Qabeela HAWAZUN Ko Diye gaye, 13 Ibne Ash'at Ko 14 Bani Tameem Ko Baki Ser Dusre Mukhtalif Qabeele Walo ne Liye..

Ser-E-Paake Imam Aali Maqam رضی الله عنہ Khawli ko Diya gaya Khawli Bin Yazeed Lashkar ki Rawangi se Pehle hi Janibe Koofa Chal Pada..

13vi Muharram Ki Subha Yazeedi Lashkar Loota Huwa Qaflaye Hussaini Ko Apni Hirasat me Lekar Koofa ki Janib Rawana hota hai Nezo par Sohda Ke Ser hai Ahle Bait ki Iffat'Maab Khawatin ko Ke Jinke Sero se Begairat Aur Be'haya Yazeediyo ne Dupatta Tak Cheen Liya Hai Be'parda Wa Be Hijab Ounto par Bager Mahmil-Wa-Kuniwah Bitha diya hai...

Hazrate Aabid Beemar رضی الله عنہ Jinhe Bimari Ki Shiddat ne Hadd Darja Naheef-Wa-Natwa Kar Diya hai, Yazeediyo ne Pero me Bedi Hatho me Hathkadi Pehnakar Harame Muhammadi Ke Ounto ki Naqeel Aapke Hath me De di hai..

In Yazeediyo se Itna bhi na Ho Saka ke Jigar Gosha-E-Rasool Ke Liye bhi Sawari ka Intezam Kar dete Aur Intezam Karte bhi kese Unhe to Zulm-O-Sitam Ke Ek-Ek Harbe Ko Aale Rasool Par Aazam Kar Apni Zalimana Fitrat Ki Pyas Bujhani Thi.

Imame Hussain رضی الله عنہ Ke Ladle Chahite Farzand Pa'piyada Ounto ki Muhar Pakde Chal Rahe hai, Jis Waqt Ahle Bait ka Mazloom Kafla Maqtale Sohda Se Guzra to Izterari Tor par Unki Cheenkhe Buland ho Gayi Yaas-Wa-Hasrat Bhari Huyi Nigaho se Is Andohnaak Manzar ko Dekhte Huwe Kafla Aage Badh Gaya...

JARI RAHEGA.