A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 2:16:00 PM by shayarkishayari   No comments

Abu-Talib Ke Paas..!!

Abdul Muttlib Ki Wafaat Ke Baad Aapصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ke Chacha Abu-Talib Ne aap Ko Apni Aagous E Tarbiyyat Me Le Liya....

Aur Huzurصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ki Nek Khaslato Aur Dil Lubha Dene Wali Bachpan Ki Piyaari Aadao’n Ne Abu-Talib Ko aapصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ka Aysa Chahne Wala Bana Diya Ki Makaan Ke Andar Aur Bahar Waqt Apne SatHi Rakhte,

Apne Sath Khilate Pilate, Apne Paas Hi Aap Ka Bistar Bichhate Aur 1 Lamha Bhi Apne Se Ojhal Hone Nahi Dete The.

📚(MawahibbulDuniya, J-1-Shafa 88)

Abu-Talib Ka Bayaan Hai Ki Maine Kabhi Bhi Nahi Dekha Ki Sarkar E Do Aalamصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Kisi Waqt Bhi Koi Jhuth Bola Ho,

Ya Kabhi Kisi Ko Dhokha Diya Ho,

Ya Kbhi Kisi Ko Iza Pahunchayi Ho,

Ya Be-Huda Ladko Ke Paas Khelne Gaye Ho,

Ya Kabhi Koi Kheelaaf E Tahezeeb Baat Ki Ho.

Hamesha Intihaayi KhooshAkhlaak Nek Atwaar, Narm Guftaar,
Buland Kirdaar,
Aur AALA Darjaa’h Ke Paasra Aur Parhezgaar Rahe....

Subhaan'ALLAH.....
Subhaan'ALLAH....

ISI LIYE MERE IMAAM E ISHQ O MOHABBAT ALA HAZRAT RADIALLAHU ANHU KYA KHOOB FARMATE HAI.....

Farsh Wale Teri Shokat Ka Ulo Kya Jane....

Khusrawa Arsh Pe Udta Hai Pharera Tera

Agniya Palte Hai Dar Se Wo Hai Bada Tera.....

Asfiya Chalte Hai Sar Se Wo Hai Rasta Tera

Faiz Hai Ya Shah-e-Tasneem Nirala Tera......

Aap Piyaso’n K Tajassus Me Hai Dariya Tera...........

NAAR-E-RISALAT

MASLAKE ALA HAZRAT ZINDABAD..

Aap Ke Wasile(Dua) Se Barish.....

Ek Martaba Mulk E Arab Me Intihayi KhowfNaak Kahat(Suka) Pardh Gaya.

Ahle Makkah Ne Buto se Fariyaad Karne Ka Iradah Kiya Magar Ek Hasin o Jameel Budhe Ne Makkah Walo Se Kaha Ke Ae Ahle Makkah !
Hamare Andar Abu-Talib Mouwjud Hai Jo Bani E Kaaba Hazrat Ibrahim Khalilullah wa Alyhissalaam Ki Nasal Se Hai,

Aur Ka’aabe Ke Mutawalli Aur Sajjada’h Nasheen Bhi Hai,
Hame In Ke Paas Chal Kar Dua Ki Darkhwast Karni Chahiye,

Chunanche Sardaran E Arab Abu-Talib Ki kheedmat Me Hazir Huve Aur Fariyaad Karne Lage Ki,
Ae Abu-Talib !! Kahat Ki Aag Ne Sare Arab Ko Jhulsa Kar Rakh Diya Hai,

Jaanwar Ghaas Pani Ko taras Rahe Hai,
Insaan Dana Paani Na Milne Se Tadap Tadap Kar Dam Tod Rahe Hai,
Kafilo Ki Aamad-wa- Rifat (Aana-Jana)Band Ho Chuki Hai,
Aur Har Taraf BarBaadi Wa Wirani Ka DowrDowra Hai,
Aap Barish Ke Liye Dua Kijiye,

Ahle Arab Ki fariyaad Sun Abu-Talib Ka Dil Bhar Aaya Aur Huzur Sallallahu tala Alyhi wasallam Ko Apne sAth Le Kar Haram e Kaaba Me Gaye,
Aur Huzur Sallallahu tala Alyhi Wasallam Ko Deewar E Kaaba Se Tek Laga Kar Baitha Diya Aur Dua Mangne Me Mashgool Ho gaye,

Darmiyaan E Dua Me Huzurصلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Ne Apni Angusht E Mubaraka(Ungali Mubarak) Ko Aasmaan Ki Taraf Utha Diya Ek Dam Charo Taraf Se Badaliya Namoodar Huvi Aur Dekhte Hi Dekhte Aeiysi Baaran E Rahemat Barsi Kiar Arab Ki Zameen Seyraab Ho gayi,

Jungalo Aur Maydaano Me Har Taraf Paani Hi Paani Nazaar Aane Laga,
Chatiyal Maydaano Ki Zameen Sar Sabz O Shaadaab Ho gayi, Kahat Dafa Ho Gaya aur Sara Arab Khoosh Haal Aur Nihaal Ho gaya..!!

📚(Sharah Zurkani Al’lmawahib J-1, Shafa 345)

(Subhan’ALLAH)

Chunanche Hazrat E Abu Talib Ne Apne us Taweel Kaseede Me Jis Ko Unhone Huzur E Paak Sallallahu Tala Alyhi Wasallam Ki Madh-o-Sana ME Nazm Kiya Hai, Is Waqiye Ko Ek Ash’Aar Me Is Tarah Zikr Karte Hai Ki,....

---------------------------

وَاَبْیَضَ یُسْتَسْقَی الْغَمَامُ بِوَجْھِہٖ ثِمَالُ الْیَتَامِیْ عِصْمَۃٌ لِّـلْاَرَامِلِ
--------------------------

Tarjumah:


Wo (Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Aise Gore Rang Wale Hai Ki In Ke Rukh e Anwaar Ke Zariye Badalo Se Barish Talab Ki Jati Hai,
Wo Yateemo Ka Thikaana Aur Bewaao Ke Nigehbaan Hai..!!

📚(Zurkani Al-Almawahib J-1, Shafa-190)

ISI LIYE MERE IMAAM IMAAM E ISHQ O MOHABBAT ALA HAZRAT KYA KHOOB FARMATE HAI.....

JINKO SUE AASMAN FELAKE JAL THAL BHAR DIYE....

SADQA UN HATHO KA PYARE HUMKO BHI DARKAR HAI....


Aapصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ke UMMI Lakab Hone Ka Hakiki Raaz Kya Hai..??

Is Ko To Khudwand-e-Aal’lamul Guyub Ke Siwa Aur Kon Bata Sakta Hai..??

Lekin Ba-Zahir Is Me Chand Hikmate Aur Favayid Ma’aloom hote Hai,…

Ye Ki Aapصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Tamaam Duniya Ko Ilm-wa-Hiqmat Sikhane Wale Huzur E Aqdas Sallallahu tala Alyhi Wasallam Hai Aur Aapصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ka Ustaad sirf Khudawand-e-Aalam Hi hi,

Koi Insaan Aap Ka Ustad Na Hota Ki Kabh Koi Ye Na Kahe sake Ki Paygambar E Aazam To Mere Padhaye Huve Shagird Hai..!!

Ye Ki Koi Shakhsh Kabhi Bhi Ye khayaal Na Kar Sake Ki Fala Aadmi Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ka Ustaad Hai To Shayad Ye Inse Zyaada Ilm Wala Hoga..!!

Huzurصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ke Bare Me Koi Ye Vahem Bhi Na kar Sake Ki Huzur Sallallahu tala Alyhi Wasallam Chunke Padhe Likhe To Is Liye Inhone Khud Hi Quraan Shareef Ki Aayato Ko Apni taraf Se Bana Kar Pesh Kiya Hai Aur Quraan Shareef Inhika Banaya Huwa Qalaam Hai..!!

Jab Huzurصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Sari Duniya Ko Kitaab wa Hiqmat Ki Ta’aleem De to Koi Ye Na Kahe Sake Ki Paheli Aur Poorani Kitabo Ko Dekh-Dekh Kar Is Kism Ki Anmol aur Inqilaab Aafre Ta’aleemat Duniya Ke Samne Pesh Kar Rahe Hai..!!

Agar Huzurصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ka Koi Ustaad Hota To Aap Ko Is Ki Ta’azeem Karni Pardhti, Hala’nki Huzurصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ko Khaleek-e-Kainaat Ne Is Liye Paida Farmaya Tha Ki Sara Aalam Aapصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ki Ta’azeem Kare, Is Liye ALLAH Ne Is Ko Gawara Nahi Kiya Ke Mera MAHEBOOB Kisi Ka Shageerd Bane Aur Koi Is Ka Ustaad Ho..!!

(Wallahu Ta’ala Aalam)

📬Continue.....