A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 11:37:00 AM by shayarkishayari   No comments



Siyria Ka Pahela Safar Aur Buhaira Raheeb(PADRI)....!!


Huzur E Akdasﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ Ki Umr Shareef Barah(12) Baras Ki Huvi
To Is Wakt Abu-Talib Ne Tijarat Ki Garz Se Mulk E Shaam Ka Safar Kiya.

Abu Talib Ko Chunke Huzurﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ Se Bahut Hi Walehana Muhabbat Thi,
Is Liye Who Aap Ko Bhi Is Safar Me Apne Hamrah Le Gaye.


Huzur E Akdasﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ Ne Aielaan-e-Nabuwwat Se Kabl Teen Bar Tijarati Safar Farmaya.

Do(2) Martaba Mulk E Shaam
Aur 1 Martaba Yaman Tashreef Le Gaye,

Ye Mulk E Shaam Ka Pahela Safar Hai Is Ke Douwran ‘Bushra’ Me ‘Buhaira’ Rahib (Isayi Padari) Ke Paas Aap Ka Kayam Huva,

Is Ne Towrat wa Injheel Me Bayan Ki Huvi NABI Aakhruzzama Ki Nishaaniyo Se Aapﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ Ko Dekhte Hi Pahechan Liya Aur Bahut Akeedat Aur Aehtaram Ke Sath Is Ne Aap Ke Kafile walo Ko Daawat Ki Aur Abu Talib Se Kaha Ke Ye Sare Jaha’n Ke Sardar Aur Rabb-ul-Aalmeen Ke Rasool Hai,

Jin Ko Khuda Ne Rah’Metul’lil’Aalmeen Bana Kar Bheja Hai.

Maine Dekha Hai Ki shajar wa Hajar (Ped aur Pathhar) In Ko Sajdah Karte Hai Aur Badal In Par Saya Karta Hai,

In Ke Dono Kandho Ke Bich ‘MOHAR-e-NABUWWAT’ Hai.
Is Liye Tumhare Aur In Ke Haq Me Yahi Bahetar Hoga Ki Ab Tum In Ko Le Kar Aage Na Javo Aur Apna Maal e Tijarat Yahi Farowkht Kar Ke Bahut Jald Makka’h Mukarrama Chale Javo.

Kyu Ki Mulk e Shaam Me Yahudi Log In Ke Bahut Bade Dushman Hai,
Waha Pahunchte Hi Log In Ko shaheed Kar Dalenge.

Buhaira Raheeb Ke Kahene Se Abu Talib Ko Khatra Mahesoos Hone Laga,

Chunanche Inhone Wahi Apni Tijaarat Ka Maal Farowkht Kiya Aur Bahut Jald Huzurﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ Ko Apne Sath Le Kar Makka’h Mukarrama Wapis Aa Gaye.

Buhaira Raheeb Ne Chalte Waqt Intihaayi Akeedat Ke Sath Aap Ko Safar Ka Kuchh Toshaa Bhi Diya.

📘(Tirmizi Shareef, Jild-2 Baab : Ma-JAA-Fi Bad’e NabuwatunNABIﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ .)

NABIﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ Ke Wasile Se Sab Ko Da’awat :

Ab Jara 12 Saal ki Umr Shareef Me NABIﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ Ki Shaan e paak Ko Mulahiza Kare…

Chunanche Jab
Buhaira Rahib Ne NABIﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ Ki Aamad Ki Khoshi Me Pure Kafile Ko Da’awat Di To Sab Logo Ko Bulaya Sare Log Jama Huve,
Huzur Sallallahu Tala Alyhi Wasallamﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ Jab Aaye Or Ek Jagah Par Baithe To 1 Ped Aap Ki JABEEB Jhuk Gaya Or Jaha Aap Baithe The Waha Saaya Kar Diya,

Logo Ne Dekha Ki MUHAMMADﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ Jaha Baithe Hai Waha To Saya Hai,

To Sare Log Wahi Aakar Baithne Lage, Aap Ko Alag Kar Diya,

Aap Dusri Jagah Par Baith Gaye To Waha Bhi 1 Ped Aap Ke Saamne Jhuk Kar Saaya Kar Diya,

Dusre Log Dhup Me The Who Ye Dekh Kar Aap Ke Nazdeek Aa gaye Aur Aapko Pare Hata Diya Aap Door Ja Kar Baith Gaye,

To Jo Ped Jhuke Huve The Who Uth Gaye Fir Se, Or Fir se Sare Log Dhup Me Aa gaye,

Idhar Buhaira raheeb Sab Ke Liye Khana Le Kar Aaya To Dekha Ki MUHAMMADﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ Kahi Nazar Nahi Aa Rahe,

Logo Se Puchha Ki Who Kaha Hai,
Logo Ne Sara Majhra Bataya To Buhaira Raheeb Kahene Laga Ki Javo MUHAMMADﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ Ko Le Kar Aa Wo Yeh Da’awat To Un Hi Ke Liye Banayi Gayi Hai,

Are Tum Sab To Unke Wasile Se Kha Rahe Ho,

Agar Who Na Aaye To Hargeez Tum Ko Yeh Da’awat Na Milegi.
(SUBHAN’ALLAH)

Fir Aapﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ Ko Nihaayat Adab Ke Sath Bulaya Or Unchi Jagah Par Bitha Kar Sab se Pahele Aap Ko Da’awat Pesh Ki Gayi Baad me Sab Ne Khaya…!!



ALLAH…!!
ALLAH…!!

Zara Shaan E Mustufaﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ Ko Dekho Pyare..!

Abhi Elan E Nabuwawwat Nahi Kiya Hai,

12 Saal Ki Umr Shareef Hai Magar Shaan-o-Aezaaz Yeh Hai Ki Aap Ke Naam Par Logo Ke Hujhum Ko Khaana Khilaya Ja Raha Hai,

Ped Aap Ke samne Jhuk Jate Hai, Pathhar Aapko Sajda Karta Hai …

SUBHANALLAH

Mulk-e-Shaam Ka Dusra Safar.....


Huzur E Akdasصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ki Umr Shareef Takreeban Pachchis(25) Saal Ki Huvi To Aap Ki Amanat wa sadakat (ImaanDari wa Sachhayi) Ka Charcha Dur Dur Tak Pahunch Chuka Tha,

Hazrat E Khadeejah Radi’ALLAHU Tala Anha Makkah Ke Ek Bahut Hi Maaldaar Aurat The,

In Ke Shohar Ka Inteqaal Ho Chuka Tha,
In Ko Zarurat Thi Ki Koi Amanat Daar Aadmi Mil Jaye To Is Ke Sath Apni Tijarat Ka Maal wa Samaan Mulk E Shaam Bheje.

Chunanche In Ki Nazar e Intekhaab Ne Is Kaam Ke Liye Huzur E Kareemصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم o Muntakhib Kiya Aur Kahela Bheja Ke Aapصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Mera Maale Tijarat Le Kar Muilk E Shaam Jaye Jo Mu’Avza Me Dusro Ko Deti Hu Aap صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ki Amanat wa Diyanat Dari Ki Bina Par Me Aap Ko Is Ka Dugana Dungi.

Huzurصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ne In Ki Darkhwast Manzoor Farmali Aur Tijarat Ka Maal wa samaan Le Kar Mulk E Shaam Ko Rawana Ho Gaye.

Is Safar Me Hazrat E Khadeejah Radi’ALLAHU Tala Anha Ne Apne Ek Khaas Gulaam ‘Maisra’ Ko Aap صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ke Sath Rawana Kar Diya Ta Ke Who Aap Ki Kheedmat Karta Rahe.

Jab Aapصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Mulk E Shaam Ke Mashahoor Sahar ‘Bushra’ Ke Bazar Me Pahunche To Waha ‘Nastoora’ Raheeb(Paadri) Ki khaanqaah Ke Kareeb Me Thahere.

Nastoora Maisra Ko Bahut Pahele Se Jaanta Pahechanta Tha. Huzurصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ka Chahera Mubarak Dekhte Hi Nastoora Maisra Ke Paas Aaya Aur Dariyaft Kiya Ke Ae Maisra ! Yeh Kon Shakhsh Hai Jo Is Darkht Ke Niche Utre Hai.? Maisra Ne Jawab Diya Ke Yeh Maakah Ke rahene Wale Hai Aur Khaandane Banu Hashim Ke Chashmo Cheerag Hai In Ka Naam ‘MUHAMMAD’ Aur Lakab ‘AMEEN’ Hai.

Nastoora Ne Kaha Ke Siwaye NABI Ke Is Darakht Ke Niche Aaj Tak Kahbi Koi Nahi Utra,
Is Liye Mujhe Yakeene Kamil Hai Ki ‘NABI AAKHRUZZAMA’ Yahi Hai.

Kayu Ke Aakhiri Nabi Nabi Ki Tamaam nishaniya Jo Mai Ne TOWRAIT wa INJHEEL Me Padhi Hai Woh sab Me In Me Dekh Raha Hu. Kaash !

Me Is Wakt Zindaah Raheta Jab Yah Apni NABUWWAT Ka Ae’Alan Karenge To Me In Ki Bharpoor Madad Karta Aur Puri Jaa’n-Nisari Ke Sath in Ki Kheedmat Guzari Me Apni Tamaam Umr Guzar Deta.

Ae Maisra!!
Me Tum Ko Nasihat Aur Wasiyyat Karta Hu Ke Khabar Daar !!
Ek Lamhe Ke Liye Bhi Tum In Se Juda Na Hona Aur Intihayi Khulus Wa Akeedat Ke Sath In Ki Kheedmat Karte Rahena Kyu Ki ALLAH Ta’ala Ne In Ko

‘KHATIMUNNABIYYIN’ Hone ka Sarf Ata Farmaya Hai.

📬Continue.....