A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 12:08:00 PM by shayarkishayari in    No comments
Ya Noorallah
Har maa-baap ko ye jan lena chaheye ki bachpan me jo achchi buri adaten bachchon me pukhta ho jati hai vo umr bhar nahi chut ti.iss liye maa-baap ko lazim hai ki bachpan hi me achchi adaten sikhayen aur buri adaton se bachayen baz log ye kah kar abhi bachcha hai.bada hoga to thik ho jayega.bachchen ko shararaton aur ghalat adaton se nahi rokte.vo log dar hakhikat bachchon ke mustakbil ko kharab karte hain aur bade hone ke baad bachchon ke bure akhlakh aur gandi adaton par rote aur matam karte hain iss liye nihayat zaruri hai ki bachpan hi me bachchon ki koi shararat ya buri adat dekhen to iss par rok tok karte rahen balki sakhti ke saat dant te pitkarte rahen.aur tarha tarha se buri adaton ki burayiyon ko bachchon ke samne zahir kar ke bachchon ko in kharab adaton se nafrat dilate rahen aur bachchon ki khubiyon aur achchi achchi adaton par khub khub shabash kaha kar in ka man badayen balki kuch inam de kar in ka hosla buland karen.iss se khabl bachchon ke hukhuk ke bayan me bachchon ke liye bahut si mufid baten ham likh chuke hain ab is se kuch zaida baten bhi ham likhte hain.maa-baap par lazim hai ki in baton ka khas tor par dhain rakhen.taki bachchon aur bachchiyon ka mustakhabl roshan aur shandar ban jayen.

Please Read This: AURAT MAA BAN JANE KE BAD

1.Bachchon ko dood pilane aur khana khilane ke liye vakht mukharrar kar lo.jo auraten har vakht bachchon ko dood pilati ya jaldi jaldi bachchon ko din raat me bar bar khana khilati rahti hai un ke bachchon ka hazima kharab aur meda kamzor ho jaya karta hai aur bachche khyi dast ki bimariyon me mubtala ho kar kamzor ho jaya karte hain.

2.Bachchon ko saaf suthra rakho magar bahut zaida banav singhar mat karo.ki iss se aksar nazar lag jaya karti hai.

3.Bachchon ko har dam god me na liye raho balki jab tak vo baitne ke kabil na ho palne me zaida tar sulaya rakho.aur jab vo baitne ke kabil ho to un ko rafta masnaton aur takiyon ka sahara de kar bithane ki koshish karo.har dam god me liye rahane se bachche kamzor ho jaya karte hain.aur vo god me rahane ki adath pad jane se bahut der me chalte aur bait te hain.

4.Baz auraten apne bachchon ko mithayi kasrat se khilaya karti hain.ye sakht mujir hai.mithayi khane se danth kharab aur meda kamzor,aur ba kasrat safravi bimariyan aur fode funsi ka rog bachcho ko lag jata hai.mithayiyon ki jagah glukoz ke biskat bachchon ke liye achchi giza hai.

5.Bachchon ke samne zaida khane ki burayi bayan karte raho aur har vakht khate pite rahane se bhi bachchon ko nafrat dilate raho.maslan yun kaha karo ki jo zaida khata hai vo jangli aur baddu hota hai aur har vakht khate pite rahna ye bandaron ki adath hai.

6.Bachchon ki har zid puri mat karo ki iss se bachchon ka mizaj bigad jata hai aur vo ziddi ho jate hain ye adat umr bhar nahi chut ti.

7.Bachchon ke saat se fakhiro ko khana aur paisa dilaya karo.isi tarha khane pine ki chizen bachchon ke saat se uss ke bhai bahano ko ya dusre bachchon ko dilaya karo taki sakhavat ki adat ho jaye aur khud garzi aur nafs parvari ki adat paida na ho aur bachcha kanjus na ho jaye.

8.Chilla kar bolne aur javab dene se hamesha bachcho ko roko khas kar bachchiyon ko to khub khub dant fitkar karo.varna badi hone ke baad bhi yehi adat padi rahegi to maike aur sasural dono jagah sab ki nazron me zalilo khwar bani rahegi aur muh fat aur bad tamiz kahlayegi.

9.Gussa karna aur baat baat par rut kar muh fulana.bahut bura hai aur bahut zor se hasna khwah bhai bahano se ladna jhagadna,chugli khana,gali bakna in harkaton par ladko aur khas ka ladkiyon ko bahut zaida tambiha kiya karo.in buri adaton ka pada jana umr bhar ke liye rusvayi ka saman hai.

10.Agar bachcha kahin se kisi ki koi chiz utha laye agarche kitni hi choti kuin na ho.iss par saab ghar vale khafa ho jayen aur saab ghar vale bachche ko chor chor kah kar sharm dilayen aur bachche ko majbur karen ki vo foran iss chiz ko jahan se vo laya hai usi jagah iss ko rakh aye fir chori se nafrat dilane ke liye uss ka haat jalayen aur kan pakad kar uss se toba karayen taki bachchon ke zehan me achchi tarha ye baat jam jaye ki parayi chiz lena chori hai aur chori bahut hi bura kaam hai.

11.Bachche gusse me agar koi chiz tode phode ya kisi ko mar baithe to bahut zaida danto.balki munasib saza do taki bachche fir yesa na karen iss mokha par lad pyar na karo.

12.Kabhi kabhi bachchon ko buzurgon aur nek logon ki hikayaten sunaya karo magar khabardar khabardar ahiqhi-mashukhi ke khisse kahaniya bachchon ke kaan me na paden.na yesi kitaben bachchon ke hathon me do jin se akhlakh kharab ho.

13.Ladkon aur ladkiyon ko zarur koi yesa hunar sikha do jis se zarurat ke bakht vo kuch kama kar basar avkhat kar sake.maslan silayi ka tarikha ya moza baniyan,swetar bunna,ya rassi ka butna ya charkha katna,khabardar khabardar in hunar ki baton ko sikhane me sharmo Aar mahasus na karo.

14.Bachchon ko bachpan hi se iss baat ki adat dalo ki vo apna kaam khud apne haat se karen vo apna bichona khud apne haat se bichayen.aur subha ko khud apne haat se apna bistar lapet kar uss ki jagah par rakhen.apne kapdon aur zevaron ko khud sambhal kar rakhen.

15.Ladkiyon ko bartan dhone aur khane pine gharon aur saman ki safayi sutrayi aur sajavat,kapda dhone,kapda rangne,sine pirone ka saab kam maa ko lazim hai ki bachpan hi se sikhaya shuru kar de aur ladkiyon ko mehnat mashakkat uthane ki adat pad jaye iss ki koshish karni chahiye.

16.Maa ko lazim hai.ki bachchon ke dil me baap ka dar bithati rahe taki bachchon ke dilon me baap ka dar rahe.

17.Bachche aur bachchiyan koi kam chup chupa kar karen to un ki rok tok karo ki ye achchi adat nahi.

18.Bachchon se koi mehnat ka kam liya karo maslan ladkon ke liye lazim hai ki voh kuch dur dod liya karen aur ladkiyan charka chalayen ya chakkhi pis len taki un ki saihat thik rahe.

19.Bachchon aur bachchiyon ko khane,pahanne aur logon se milne milane aur mahfilon me utne baitne ka tarikha aur salikha sikhana maa-baap ke liye zaruri hai.

20.Chalne me takid karo ki bachche jaldi jaldi aur dodte huye na chalen aur nazar upar utha kar idhar udhar dekhte huye na chalen.aur na bich sadak par chalen.balki hamesha sadak ke kanare kanare chalen.