A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 1:27:00 PM by shayarkishayari in    No comments
Ya Nabiyallah
Har mard va aurat par apne maa-baap ke hukhuk ko bhi ada karna farz hai.khas kar niche likhe huve chand hukhuk ka khayal to khas tor par rakhna behad zaruri hai.

Please Read This :AVLAD KI PARVARISH KARNE KA TARIKHA

1.Khabardar khabardar hargiz hargiz apne kisi khol va fel se maa-baap ko kisi khism ki koi taklif na den.agarche maa-baap avlad par kuch zaidati bhi karen magar fir bhi avlad par farz hai ki vo hargiz hargiz kabhi bhi aur kisi haal me bhi maa-baap ka dil na dukhayen.

2.Apni har baat aur apne har amal se maa-baap ki tazim va takrim karen aur hamesha un ki ijazat va hurmat ka khayal rakhen.

3.Har jayiz kam me maa-baap ke hukmon ko farma bardari kare.

4.Agar maa-baap ko koi bhi hazat ho to jano mal se un ki khidmat kare.

5.Agar maa-baap apni zarurat se avlad ke malon saman me se koi chiz le len to khabardar khabardar hargiz hargiz bura na mano.na izhare narazi karen.balki ye samjho ki main aur mera maal saab maa-baap hi ka hai.hadis sharif me hai ki huzure akdas Sallallahu Alaihi O Sallam ne ek shaks se ye farmaya ki
Ya Sattar
 "yani tu aur tera mal saab tere baap ka hai."
Ya Gaffar
6.Maa-baap ka intikhal ho gaya to avlad par maa-baap ka ye haq hai ki un ke liye magfirat ki duayen karte rahen aur apni nafli ibadaton aur khair va khairat ka savab un ki ruhon ko pahunchate rahen.khano aur shirini vaghaira par fatiha dila kar un ki arvah ko isale savab karte rahe.

7.Maa-baap ke doston aur un ke milne jhulne valon ke saat yehsaan aur achcha bartav karte rahen.

8.Maa-baap ke zimme jo kharz ho uss ko ada karen ya jin kamo ki vo vasiyat kar gaya ho.un ki basiyaton par amal karen.

9.Jin kamo se zindagi me maa-baap ko taklif huva karti thi un ki vafat ke baad bhi un kamo ko na karen ki iss se un ki ruhon ko taklif pahunchegi.

10.Kabhi kabhi maa-baap ki khabron ki ziyarat ke liye bhi jaya karen.un ke mazaron par fatiha paden.salam karen aur un ke liye duayen magfirat karen iss se maa-baap ki arvah ko khushi hogi aur fatiha ka savab farishte noor ki thaliyon me rakh kar un ke samne pesh karenge aur maa-baap khush ho kar apne bete betiyon ko duayen denge.

Dada,Dadi,Nana,Nani,Chacha,Fufi,Mamu,Khala,Vaghaira ke Hukhuk bi maa-baap hi ki tarha hai yunhi bade bhai ka haq bhi baap hi jaisa hi chunanche hadis sharif me hai ki,
Ya Razzaq