On 12:42:00 PM by shayarkishayari in Lecture No comments
Shoharon ke bare me pahale post me likhi huyi hidayat ki roshni me ye suval paida hota hai ki behtarin shohar kon hai? to iss suval ka javab ye hai ki
BEHTARIN SHOHAR VO HAI !
BEHTARIN SHOHAR VO HAI !
- Jo apni bivi ke saat narmi,khush khulki aur husne suluk ke saat pesh aye.
- Jo apni bivi ke hukhuk ko ada karne me kisi khisam ki gaflat aur kotahi na kare.
- Jo apni bivi ka iss tarha ho kar rahe ki kisi ajnabi aurat par nigah na dale.
- Jo apni bivi ko apne aysho aram me barabar ka sharik samjhe.
- Jo apni bivi par kabhi zulum aur kisi khism ki ziyadati na kare.
- Jo apni bivi ki tund mijazi aur bad akhlaki par sabr kare.
- Jo apni bivi ki khubiyon par nazar rakhe aur mamuli ghaltiyon ko nazar andaz kare.
- Jo apni bivi ki musibaton,bimariyon aur ranjo gham me diljoyi,timardari aur vafadari ka subut de.
- Jo apni bivi ko parde me rakh kar izzat va abru ki hifazat kare.
- Jo apni bivi ko dindari ki takid karta rahe aur shariat ki raah par chalaye.
- Jo apni bivi aur ahalo ayal ko kama kama kar rizkhe halal khilaye.
- Jo apni bivi ke maike valon aur uss ki sahelilyon ke saat bhi achcha suluk kare.
- Jo apni bivi ko jillat va rusvayi se bachaya rakhe.
- Jo Apni bivi ke akhrajat me bakhili aur kanjusi na kare.
- Jo apni bivi par iss tarha kantrol rakhe ki vo kisi burayi ki taraf rukh bhi na kar sake.
BEHTARIN SHOHAR KI SHAN
2015-01-23T12:42:00+05:30
shayarkishayari
Lecture|
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Search
Deal of The Day
Popular Posts
Categories
Sample Text
Subscribe via Email
Powered by Blogger.
Featured Posts
Ek Tariqhi Munazara