A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 12:07:00 PM by shayarkishayari in    No comments
Hijab

Aallah Azzawajal va Rasool Sallallahu Alaihi O Sallam ne insani fitrat ke takhazon ke mutabik badkhari ke darvazon ko band karne ke liye auraton ko parde me rakhne ka hukum diya hai.parde ki farziyat aur iss ki ahamiyat qurane majid aur hadison se sabit hai.chunanche quran e majid me allah tala ne auraton par parda farz farmate huve irshad farmaya ki,
muslim
"Tum apne gharon ke andar raho aur be parda ho kar bahar na nikalo jis tarha pahale zamane ke daore jahiliyat me auraten be parda bahar nikal kar ghumti firti thi."

Iss ayat me Allah Tala ne saaf saaf auraton par parda farz kar ke ye hukum diya hai ki vo gharon ke andar raha karen aur zamanaye jahiliyat ki be hayayi va be pardagi ki rasam ko chod den. zamanaye jahiliyat me kuffare arab ka ye dastur tha ki in ki auraten khub ban savar kar be parda nikalti thi.aur bazaron aur melon me mardon ke dosh badosh ghumti firti thi.islam ne iss be pardagi ki be hayayi se roka aur hukum diya ki auraten gharon ke andar rahen aur bila zarurat bahar na nikale aur agar kisi zarurat se inhen ghar se bahar nikalna hi pade to zamanaye zahiliyat ke mutabik banav singhar kar ke be parda na nikalen.balki parde ke saat bahar nikale.hadis sharif me hai ki rasoollullah Sallallahu Alaihi O Sallam ne farmaya ki "aurat parde me rahane ki chiz hai jis vakht vo be parda ho kar bahar nikalti hai to shaitan uss ko jhank jhank kar dekhta hai."
musalman
Aur ek hadis me hai ki "banav singhar kar ke itra itra kar chalne vali aurat ki misal uss tarikhi ki hai jis me bilkul roshani hi na ho"
ya siddiq
Isi tarha hazrate abu musa ashari Raziyallahu Tala Anhu se rivayat hai ki "Huzure akdas Sallallahu Alaihi O Sallam ne farmaya jo aurat khushbu laga kar mardon ke pas se guzare taki log uss ki khushbu sunghe vo aurat bad chalan hai"
ya farooq
Pyari bahano.Aaj kal jo auraten banav singhar aur urya libas pahan kar khushbu lagaye bila parda bazaron me ghumti hai aur sinema,thiyetaron me jati hai vo in hadison ki roshni me apne bare me khud hi faisla kar len ki voh kon hai? aur kitni badi gunahgar hai?

Ye Allah Azzawajal ki bandiyon. Tum khuda ke fazal se musalman ho.Allah Azzawajal va rasool Sallallahu Alaihi O Sallam ne tumhen imaan ki dolat se mala maal kiya hai.tumhare imaan ka takhaza ye hai ki tum allah azzawajal va rasool Sallallahu Alaihi O Sallam ke ahakam ko suno aur in par amal karo.allah azzawajal va rasool Sallallahu Alaihi O Sallam ne tumhe parde me rahane ka hukum diya hai.iss liye tum ko lazim hai ki tum parde me raha karo aur apne shohar aur apne baap dadaon ki izzat va azmat aur un ke namon ko barbad na karo.ye dunya ki chand roz zindagi ani fani hai.yad rakho.ek din marna hai aur fir khiyamat ke din allah azzawajal va rasool Sallallahu Alaihi O Sallam ko muh dikhana hai.khabr aur jahannam ke azabon ko yad karo hazrate khatune jannat bibi Fatimatuzzahara Raziyallahu Tala Anhu aur ummat ki maa yani rasoollullah Sallallahu Alaihi O Sallam ki mukhaddas biviyon ke nakshe khadam par chal kar apni dunya va akhirat ko savaron.aur khuda ke liye yahudo nasara aur musharikin ki auraton ke tarikhon par chalna chod do.

PARDA IZZATH HAI BE IZZATH NAHI

Aaj kal baz mulhid khisam ke dusmanane islam musalman auraton ko ye kah kar bahakaya karte hain ki islam ne auraton ko parde me rakh kar auraton ki be izzati ki hai iss liye auraton ko pardon se nikal kar har maidan me mardon ke dosh badosh khadi ho jana chahiye.magar pyari bahano.khub achchi tarha samaj lo ki in mardon ka ye propeganda itna ganda aur ghilona fareb aur dhoka hai ki shayad shairan ko bhi na suja hoga.

Ye Allah Azzawajal ki bandiyon.tumhi insaf karo ki tamam kitaben khuli padi rahti hai aur be parda rahti hai magar quran ne sharif par hamesha gilaf chada kar iss ko parde me rakha jata hai to batao kai quran ne majid par jilaf chadana ye quran ki izzat hai ya be izzati? isi tarha tamam dunya ki masjiden nangi aur be parda rakhi gayi hai magar khana e kaaba par gilaf chada kar iss ko parde me rakha gaya hai to batao kai kaaba e mukhaddas par gilaf chadana iss ki izzat hai ya be izzati? tamam dunya ko malum hai ki quran ne majid aur kaaba e muAzzam par gilaf chada kar in dono ki izzaton azmat ka yelan kiya gaya hai ki tamam kitabon me sab se afzalo ala quran hai.aur tamam masjidon me afzalo ala ka be muAzzam hai isi tarha musalman auraton ko parde ka hukum de kar allah azzawajal va rasool Sallallahu Alaihi O Sallam ki taraf se iss baat ka yelan kiya gaya hai ki akhvame alam ki tamam auraton me musalman aurat tamam auraton se afzalo ala hai.

Pyari bahano.Aab tumhi ko iss ka faisla karna hai ki islam ne musalman auraton ko pardon me rakh kar in ki izzat badayi hai ya in ki be izzati ki hai?

KIN LOGON SE PARDA FARZ HAI?

Har ghair maharam mard khwah ajnabi ho khwah rishtedar bahar rahta ho ya ghar ke andar har ek se parda karna aurat par farz hai.han,un mardon se jo aurat ke maharam hain parda karna aurat par farz nahi.maharam vo mard hai jin se aurat ka nikah kabhi bhi aur kisi surat me bhi jayiz nahi ho sakta.maslan baap,dada,chacha,mamu,nana,bhai,bhatija,bhanja,pota,navasa,khusran logon se parda karna zaruri nahi hai.ghair maharam vo mard hain jin se aurat ka nikah ho sakta hai jaise chachazad bhai,mamuzad bhai,fufizad bhai,khalazad bhai,jet aur devar baghaira ye sab aurat ke ghair maharam hain. aur in sab logon se parda karna aurat par farz hai.hamare yahan ye bahut hi ghalat khilafe shariyat ravaj hai ki auraten apne devaron se bilkul parda nahi karti.balki devaron se hasi mazak aur in ke saat hata-payi tak karne ko bura nahi samajti.halanki devar aurat ka maharam nahi hai.iss liye dusre tamam ghair maharam mardon ki tarha auraton ko devaron se parda karna farz hai.balki hadis sharif me to yahan tak devaron se parde ki takid hai ki 
ya ghani
Yani devar aurat ke haq me yesa hi khatarnak hai jaise maut aur aurat ko devar se isi  tarha dur bhagana chahiye jis tarha log maot se bhagte hain.
ya ali
Bahar hal khub achchi tarha samaj lo ki ghair maharam se parda farz hai,chahe vo ajnabi mard ho ya rishtedar,devar,get bhi ghair maharam hai iss liye in logon se bhi parda karna zaruri hai isi tarha kuffar va mushrikin ki auraton se bhi musalman auraton ko parda karna lazim hai.aur un ko gharon me ane jane se rok dena chahiye.

Please Read This : BEHTARIN SHOHAR KI SHAAN

MasAla

 Aurat ka pir bhi aurat ka ghair maharam hai iss liye murida ko apne pir se bhi parda karna farz hai.aur pir ke liye bhi ye jayiz nahi ki apni murida ko be parda dekhe ya tanhayi me uss ke pas baite.balki pir ke liye ye bhi jayiz nahi ki aurat ka haat pakad kar uss ko baiyat kare.jaisa ki hazrate Ayesha Raziyallahu Tala Anhu ne auraton ki baiyat ke mutallik farmaya ki Huzur Sallallahu Alaihi O Sallam-
ya allah
Se auraton ka imtihan farmate the jo aurat iss ayat ka ikhrar kar leti thi to Aap Sallallahu Alaihi O Sallam uss se farmate the ki mai ne tuj se ye baiyat le li.ye baiyat ba zariya e kalam hoti thi.khuda ki khasam kabhi bhi huzur Sallallahu Alaihi O Sallam ka haat kisi aurat ke haat se baiyat ke vakht nahi lagaya.
ya mohammed