A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 6:04:00 PM by shayarkishayari in    No comments
Ya Nabi Salam Alaika
Baaz yese bhi hukhuk hain jo har admi ke dusre admi par hai khwah vo kafir ho ya musalman,nekukar ho ya badkar.in hukhuk me se chand ye hai.
  1. Bila khata hargiz hargiz kisi insan ki jano mal ko nuksan na pahunchaye.
  2. Bila kisi sharayi vajah ke kisi insan ke saat bad zabani va sakht kalami na kare.
  3. Kisi musibat zada ko dekhe ya kisi ko bhuk pyas ya bimari me mubtala paye to uss ki madad kare.khana pani de de.dava ilaj kar de.
  4. Jin jin suraton me shariyat ne sajao ya ladayiyon ki ijazat di hai in suraton me khabardar khabardar had se zaida na bade aur hargiz hargiz zulm na kare.ye shariyate islam ki mukhaddas talim ki ruse har insan ka har insan par haq hai jo insani haisiyat se ek dusre par lazim hai.hadis sharif me hai ki,
"Yani raham karne valon par rahaman raham farmata hai.tum log zamin valon par raham karo to asman vala tum logon par raham farmayega"

 Aur ek dusri hadis me rahamath ullah alamin Sallallahu Alaihi O Sallam ne ye irshad farmaya ki.
"Yani tamam makhluk allah ki iyal hai jo us ki parvarish ki mohtaj hai aur tamam makhluk me sab se zaida allah ke nazdik vo pyara hai jo allah ki iyal yani us ki makhluk ke saat achcha suluk kare"