A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 6:18:00 PM by shayarkishayari in    No comments
Ya Ali
Aallah Tala rahaman va rahim aur ar-hamarrahimin hai aur us ke pyare rasool rahamat ull alamin hai.iss liye islam jo khuda ka bheja huva aur rasool ka laya huva deen hai iss liye iss deen me janvaron ke bhi khuch hukhuk hain jin ka ada karna har musalman par zaruri hai.janvaron ke chand hukhuk ye hai.
  1. Jin janvaron ka gosht khana haram hai jab tak vo iza na pahunchayen bila zarurat un ko katl karna manaA hai.
  2. Jin janvaron ka gosht halal hai un ko bhi jab ki khane ke liye na ho balki mahaz tafriha ke liye bila zarurat katl karna.jaisa ki baz shikari log khane ya koi fayida uthane ke liye nahi shikar karte balki shikar khelte hain yani mahaz khel khud ke tor par janvaron ka khoon kar ke un ko zaya kar dete hain.ye shariyat me jayiz nahi hai.
  3. Jo paltu janvar kam karte hain un ko Ghans-Chara aur pani dena farz hai.aur un ki takhat se zaida un se kam lena ya bhuka pyasa rakhna aur bila zarurat khususan un ke chehron par marna gunah aur najayiz hai.
  4. Parindon ke bachchon ko ghonslon se nikal lena ya parindon ko pinjaron me band kar dena aur bila zarurat in parindon ke maa-baap aur jode ko dukh pahunchana bahut badi be rahmi aur zulum hai jo kisi musalman ke liye jayiz nahi hai.
  5. Baz log kisi jandar ko band kar latka dete hain aur us par ghulail ya banduk se nishana bazi ki mashk karte hain ye bhi pahle darze ki be rahami aur zulm hai jo har musalman ke liye haram hai.
  6. Jin janvaron ko zabah karna ho ya munji hone ki vajah se katl karna ho to musalman ke liye lazim hai ki us ko tez dhar hatiyar se bahut jald zabah ya katl kar de.kisi janvar ko tadpa tadpa kar ya bhuka pyasa rakh kar mar dalna ye bhi badi be rahami hai jo hargiz hargiz islam me jayiz nahi hai.