A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 11:13:00 AM by shayarkishayari in    No comments
Ya Mohammed Mustafa
Allah Tala ne Quran e Sharif me aur Huzur nabi e akram Sallallahu Alaihi O Sallam ne hadis sharif me bar bar rishtetadon ke saat yehsan aur achche bartav ka hukum farmaya hai lihaza in logon ke hukhuk ko bhi Aada karna har musalman mard va aurat par lazim aur zaruri hai.khas tor par in chand baton par amal karna to lazim hai.

1.Agar apne azizo akhriba muflis va mohtaj ho aur khane kamane ki takhat na rakhte ho to apni takhat bhar aur apni guzayish ke mutabik un ki mali madad karte rahen.

2.Kabhi kabhi apne rishtedaron ke yahan ate jate bhi  rahe aur un ki khushi aur ghami me hamesha sharik rahen.

3.Khabardar khabardar hargiz hargiz rishtedaron se kataye talluk kar ke rishte ko na kanto.rishtedari kat dalne ka bahut bada gunah hai rasoollallah Sallallahu Alaihi O Sallam ne farmaya hai ki
Ya Mohammed
Ya Habib
"Yani apne rishtedaron se khataye talluk karne vala jannat me nahi dakhil hoga."

Agar rishtedaron ki taraf se koi taklif bhi pahunch jaye to iss par sabr karna aur fir bhi un se mel jhol aur talluk ko barkharar rakhna bahut bade savab ka kam hai.

Hadis sharif me hai ki jo tum se talluk tode tum uss se mel milap rakho aur jo tum par zulm kare uss ko muaf kar do.aur jo tumhare saat bad suluki kare tum uss ke saat nek suluk karte raho.
Ya Mustafa

Aur ek hadis me ye bhi hai ki ristedaron ke saat achcha suluk karne se admi apne ahlo iyal ka mahbub ban jata hai aur uss ki maldari bad jati hai.aur uss ki umr me daraji aur barkat hoti hai.
Ya Ahmed
In hadison se ye sabak milta hi ki rishtedaron ke saat nek suluk karne ka kitna bada azro savab hai aur dunya va akhirat me iss ke favayid va manafe kis khadar ziyada hai aur rishtedaron ke saat bad suluki aur un se taluk kaat lene ka gunah kitna bhayanak aur khofnak hai aur dono jahan me iss ka nuksan aur vabala kis khadar ziyada khatarnak hai.iss liye har musalman mard va aurat par lazim hai ki apne rishtedaron ke hukhuk ada karne aur un ke saat achcha bartav aur nek suluk karne ka khas tor par dhain rakhe.yad rakho ki shariyat ke ahakam par amal karna hi musalman ke liye dono jahan me salah va falah ka saman hai shariyat ko chod kar kabhi bhi koi musalman dono jahan me panap nahi sakta.Jo log zara zara si baton par apni bahano,betiyon,fufiyon,khalaon,mamuon,chachaon,bhatijon vaghaira se ye kah kar khataye talluk kar lete hai ki Aaj se main tera rishtedar nahi aur tu bhi mera rishtedar nahi.aur fir salam-kalam,milna-zhulna band kar dete hain yahan tak ki rishtedaron ki shadi va ghami ki takhribat ka baykat kar dete hain.had ho gayi ki baz bad nasib apne kharibi rishtedaron ke janaze aur kafan dafan me bhi sharik nahi hote to in hadison ki roshni me tum khud hi faisla karo ki ye log kitne bade bad bakht,hirama nasib aur gunahgar hain?(toba toba Auzubillah)