On 10:39:00 AM by shayarkishayari in Lecture No comments
Allah Tala ne Quran e Majid me aur uss ke pyare rasool Sallallahu Alaihi O Sallam ne ahadis me hamsayon aur padosiyon ke bhi kuch hukhuk mukharrar farmaya hai.jin ko ada karna har musalman mard va aurat ke liye lazim va zaruri hai.Quran e Majid me hai.
"Yani kharibi aur dur vale padosiyon ke saat nek suluk aur achcha bartav rakho"
Aur hadis sharif me aya hai ki rasoollullah Sallallahu Alaihi O Sallam ne farmaya ki hazrate jibrayil Alaihissalam muj ko hamesha padosiyon ke hukhuk ke bare me basiyat karte rahe.yaha tak ki muje ye khayal hone laga ki shayad An kharib padosi ko apne padosi ka varis tahara denge.
Ek hadis me ye bhi hai ki ek din huzur Sallallahu Alaihi O Sallam wazu farma rahe the to sahaba e kiram Alaihis Salam Aap ke wazu ke dhovan ko lut lut kar apne cheharon par malne lage.ye manzar dekh kar Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ne farmaya ki tum log yesa kui karte ho? sahaba Alaihis Salam ne arz kiya ki ham log allah azzawajal ke rasool Sallallahu Alaihi O Sallam ki mohabbat ke jazbe me ye kar rahe hain.ye sun kar Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ne irshad farmaya ki jis ko ye baat pasand ho ki vo allah azzawajal va rasool Sallallahu Alaihi O Sallam se mohabbat kare ya allah azzawajal va rasool Sallallahu Alaihi O Sallam uss se mohabbat karen uss ko lazim hai ki vo hamesha har baat me sach bole aur uss ko jab kisi chiz ka amin banaya jaye to vo amanat ko Aada kare aur apne padosiyon ke saat achcha suluk karen.
Aur rasoollullah Sallallahu Alaihi O Sallam ne farmaya ki vo shakhs kamil darze ka musalman nahi jo khud pet bhar kar kha le aur uss ka padosi bhuka rah jaye.
Bahar hal apne padosiyon ke liye mundarijaye jail baton ka khayal rakhna chahiye.
- Apne padosi ke dukh sukh me hamesha sharik rahe aur ba vakhte zarurat un ki har khis ki imdad bhi karta rahe.
- Apne padosiyon ki khabrgiri aur un ki khair khwahi aur bhalayi me hamesha laga rahe.
- Kuch hadiyon aur tohfon ka bhi len-den rakhe chunanche hadis sharif me hai ki jab tum log shoraba pakao to iss me kuch ziyada pani dal kar shorbe ko badao taki tum log iss ke zariye apne padosiyon ki khabargiri aur un ki madad kar sako.
PADOSIYON KE HUKHUK
2015-01-29T10:39:00+05:30
shayarkishayari
Lecture|
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Search
Deal of The Day
Popular Posts
Categories
Sample Text
Subscribe via Email
Powered by Blogger.
Featured Posts
Ek Tariqhi Munazara