A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 9:16:00 PM by shayarkishayari in    No comments
naat sharif




Hum Sar Pe Kafan Bandhe Maidan Main Nikle Hain
Batil Ke Mehlon Ko Hum Dahne Nikle Hain

Himmath Hai Hame Toke Dam Hai To Hame Roko
Hum Naar-E-Risalath Ko Pehlane Nikle Hain

Har Des Main Gunjega Ab Ya Rasool Allah
Har Shaks Pukarega Ab Ya Rasool Allah

Hum Sari Duniya Main Halchal Si Machadenge
Sarkar Ke Aashiq Hai Rang Apna Jamadenge

Milad-E-Nabi Karna Ye Koon Main Shamil Hai
Is Mission Ki Qatir Hum Dil Raat Lagadenge

Sarkar Ki Naaton Se Pur Josh Hai Dewane
Milad Ki Mehfil Main Mahool Banadenge

Kyun Karna Manayen Hum Ye Sunni Saqafath hai
Milad Manane Par Sarkar Jagadenge

Sauda Na Kareinge Hum Imaan Na Bechenge
Naamus-E-Risalath Par Duniya Ko Hiladenge

Har Nasl Ka Naara Hai Har Qaum Ka Naara Hai
Is Naare Se Logon Ko Aapas Main Miladenge

Islam Jo Mazahab Hai Pegham-E-Mohabbath Hai
Is Aaman Ke Parcham Ko Har Ghar Main Jagadenge

 Sarkar Ki Izzat Par Marna Hai Hame Logon
Ye Wada Hamara Hai Sab Kuch Hi Lutadenge

Ham Ne Yehi Thani Hai Mannath Yehi Mani Hai
Is Des Ki Matti Par Koon Apna Bahadenge

Hai Aal-E-Nabi Piyare Ashaab Sitaren Hain
Dono Ki Mohabbath Ko Hum Dil Main Basadenge

Aayen Hain Ujagar Sang Amjad-O-Tahir Bhi
Pegham-E-Nabi Denge Aahkam-E-Khudadenge