On 11:57:00 AM by shayarkishayari in Lecture No comments
Hazrate Isa Alaihis Salam ki Validaye majida hazrate maryam Raziyallahu Tala Anha ke valid ka naam "Imran" aur Maa ka naam "Hannan" tha. Jab bibi maryam apni maa ke shikam me thi uss vakht in ki maa ne ye mannath man li thi ki jo bochcha paida hoga main uss ko baitul mukhaddas ki khidmath ke liye azad kar dungi. Chunanche, Jab hazrate maryam paida huyi to in ki valida in ko baitul mukhaddas me le kar gayi. Uss vakht baitul mukhaddas ke tamam alimon aur abidon ke imam hazrate Zakriya Alaihis Salam the jo hazrate maryam ke khalu the. Hazrate Zakriya Alaihis Salam ne Hazrate Maryam Raziyallahu Tala Anha ko apni kafalat aur parvarish me le liya aur baitul mukhaddas ki balayi manzil me tamam manzilon se alag ek mehrab bana kar hazrate maryam Raziyallahu Tala Anhu ko iss mehrab me tahraya. Chunanche, Hazrate Maryam Raziyallahu Tala Anha iss mehrab me akeli khuda ki ibadath me masruf rahane lagi aur Hazrate Zakriya Alaihis Salam subho sham mehrab me in ki khabar giri aur khurdo nosh ka intizam karne ke liye ate jate rahe.
Chand hi dino me Hazrate Maryam Raziyallahu Tala Anha ki mehrab ke andar ye karamat numudar huyi ki jab hazrate zakriya alaihis salam mehrab me jate to vo jadon ke fal garmi me aur garmi ke fal jadon me pate. Hazrate Zakriya Alaihis Salam hairan ho kar puchte ki ye maryam! Ye fal kahan se tumhare pas ate hain ? To Hazrate Maryam Raziyallahu Tala Anha ye javab deti ki ye fal Allah Azzawajal ki taraf se ate hain aur Allah jis ko chahta hai bila hisab rozi ata farmata hai.
Hazrate Zakriya Alaihis Salam ko khudavande khuddus ne nabuvath ke sharf se navaza tha magar un ke koi avlad nahi thi aur vo bilkul zayif ho chuke the. Barson se un ke dil me farzand ki tamanna maujzan thi aur barha unhone gid gida kar khuda se avlade narina ke liye dua bhi manghi thi magar khuda ki shane be niyazi ki bavazud iss ke Aab tak un ko koi farzand nahi mila. Jab unhone Hazrate Maryam Raziyallahu Tala Anha ki mehrab me ye karamat dekhi ki uss jagah be mosim ka fal ata hai to uss vakhth un ke dil me ye khayal aya ki meri umr ab ithni zayifi ki ho chuki hai ki avlad ke fal ka mosim khatam ho chuka hai. Magar vo Allah jo Hazrate Maryam ki mehrab me be mosim ke fal ata farmata hai vo khadir hai ki mujhe bhi be mosim ki avlad (ka Fal) ata farma de. Chunanche, Aap ne mehrabe maryam me dua mangi aur Aap ki dua makhbul ho gayi. Aur Allah Tala ne budape me Aap ko ek farzand ata farmaya jin ka naam khud khudavande Alam ne " Yahya" rakha aur Allah Tala ne un ko nabuvath ka sharaf bhi ata farmaya. Quran e Majid me khudavande khuddus ne iss vakhiye ko iss tarha bayan farmaya :

Tarjuma e Kanzul Imaan:
Jab Zakriya uss ke pass uss ki namaz padne ki jagah jate uss ke pass naya rizk pate. Kaha : Ye Maryam ! Ye tere pass kahan se aya boli vo Allah ke pass se hai Beshak Allah jise chahe be jinati de. Yahan pukara zakriya apne raab ko. Bola : Ye Raab mere mujhe apne pass se de suthri avlad beshak tu hi dua sunne vala, To farishton ne use avaz di aur vo apni namaz ki jagah khada namaz pad raha tha. Beshak Allah Aap ko muzda deta hai yahya ka jo Allah ki taraf ke ek kalime ki tasdikh karega aur sardar aur hamesha ke liye auraton se bachne vala aur nabi hamare khasmo me se.Darse Hidayath:
Iss vakhiya se mundrijaye zail ibraton ki tajalli hoti hai jin se har musalman ko sabak hasil karna bahuth zaruri hai.
Hazrate Maryam Raziyallahu Tala Anha ba karamath baliya hain:-
Vakhiya mazkura se malum huva ki hazrate maryam Raziyallahu Tala Anha sahibe karamath aur martabaye vilayath par fayiz hain kuinki khuda ki taraf se in ki mehrab me fal ate the aur vo bhi jhadon ke fal garmi me aur garmi ke fal jhadon me. Ye in ki ek bahuth hi azimushaan aur bazeha karamath hai jo in ki vilayath ki shahide adal hai.
Ibadath Gaah Makhame Makhbuliyath hai:-
Iss bakhiya se ye bhi sabith huva ki Allah vale ya Allah valiya jis jagah ibadath karen vo jagah iss khadar mukhaddas ho jati hai ki vo rahmate khudavandi azzawajal ka nuzul hota hai aur vahan par duayen makhbul huva karti hai jaisa ki Hazrate Zakriya Alaihis Salam ki dua mehrabe maryam me makhbul huyi. Halanki vo iss se pahale baitul mukhaddas me bar bar ye dua mang chuke the magar un ki murad puri nahi huyi thi.
Khabron Ke Pass Dua:-
Jahan Allah ke makhbul bande aur makhbul bandiyan chand din bait kar ibadath karen jab in jagahon par duayen makhbul hoti hai to in makhbulane bargahe ilahi ki khabro ke pass jahan in buzurgon ka pura jism barsaha bars tak raha hai, vahan bhi zarur duvayen makhbul hongi. Chunanche, Hazrate Imam Shafayi Rahamath Ullahi Tala Anha ka bayan hai ki jab kisi masAle ka hal mere mile mushkil ho jata tha to main baghdad ja kar Hazrate Imame Azam Abu Hanifa Rahamath Ullahi Tala Alai ki khabre mubarakh ke pass bait kar apne aur khuda ke darmiyan imame mamduh ki mubarak khabar ko vasila bana kar dua mangta tha to meri murad bar ati thi aur masAla hal ho jaya karta tha.
Mehrabe Maryam
2015-04-12T11:57:00+05:30
shayarkishayari
Lecture|
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Search
Deal of The Day
Popular Posts
Categories
Sample Text
Subscribe via Email
Powered by Blogger.
Featured Posts
Ek Tariqhi Munazara