A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 1:57:00 PM by shayarkishayari in    No comments
Nazran(Yaman) ke Nasraniyon ka ek vafad madina e munavara aya . Ye 14 admiyon ki jamath thi jo saab ke saab nazran ke ashraf the aur iss vafad ki khiyadath karne vale 3 Shakhs the.
  1. Abu Harisa Bin Alkama Jo Isayiyon ka Pop Azam tha.
  2. Uheb jo un logon ka sardare Azam tha.
  3. Abdul masih jo sardare Azam ka nayab tha aur " Akhib" kahlata tha.
Ye sab numayinde nihayath khimti aur nafis libas pahan kar asar ke bad masjid e nabavi me dakhil huve aur apne khible ki taraf muh kar ke apni namaz ada ki. fir Abu Harisa aur ek dusra shakhs dono Huzur Nabi e Karim Sallallahu Alaihi o Sallam ki khidmat me hazir huve aur Aap ne nihayath karimana lahje me in dono se guftagu farmayiye aur hasbe zail mukalma huva.

Nabi Sallallahu Alaihi o Sallam : Tum log islam khabul kar ke Allah Tala ke farma bardar ban jao.

Abu Harisa : Ham log pahle hi se Allah Tala ke farman bardar ho chuke hain.

Nabi Sallallahu Alaihi o Sallam : Tum logon ka ye kahna sahi nahi kuinki tum log salib ki partish karte ho aur   Allah ke liye beta batate ho aur khinzir khate ho.

Abu Harisa : Aap log hamare paighambar Hazrate Isa Alaihis Salam ko galiyan kuin dete ho ?

Nabi Sallallahu Alaihi o Sallam : Ham log Hazrate Isa Alaihis Salam ko kai kahte hain ?

Abu Harisa : Aap log Hazrate Isa Alaihis Salam ko banda kahte hain halanki voh khuda ke bete hain !

Nabi Sallallahu Alaihi o Sallam : Han ! Ham ye kahte hain ki Hazrate Isa Alaihis Salam khuda ke Bande aur uss ke rasul hain aur vo kalimatullah jo kuvari maryam ke shikam se bighair baap ke allah tala ke hukm se paida huve.

Abu Harisa : Kai koi insan bighair baap ke paida ho sakta hai ? jab Aap log ye mante hain ki koi insan Hazrate Isa Alaihis Salam ka baap nahi to fir Aap logon ko ye manana padega ki un ka baap Allah Tala hai ?

Nabi Sallallahu Alaihi o Sallam : Agar kisi ka baap koi insan na ho to iss se ye lazim nahi ata ki us ka baap khuda hi ho. Khudavande Tala agar chahe to bighor baap ke bhi admi paida ho sakta hai.dekho Hazrate Adam Alaihis Salam ko to baghair maa baap ke Allah Tala ne mitti se paida farma diya agar uss ne Hazrate Isa Alaihis Salam ko baghair baap ke paida kar diya to iss me tajub ki kon si bath hai ?
        Huzur Nabi Sallallahu Alaihi o Sallam ke iss paighambarana tarze istidlal aur hakimana guftagu se chahiye to ye tha ki ye favad apni nasraniyath ko chod kar damane islam me Aa jata magar in logon ne Huzur Nabi Sallallahu Alaihi o Sallam  se jhagda shuru kar diya. Yahan tak ki bahus va takrar ka silsila bahuth daraj ho gaya to Allah Tala ne surah e ale imran ki ye Ayat nazil farmayi :

Tarjuma e Kanzul Imaan:
                  Fir Ye Mahbub ! Jo tum se Isa ke bare me Hujjath karen Baad is ke ki tumhen ilm Aa chuka to un se farma do Aao ham tum bulayen apne bete aur tumhare bete aur apni auraten aur tumhari auraten aur apni jane aur tumhari jane fir mubahala karen to jhuton par Allah ki lanath dalen .
               
                  Quran ki iss davate mubahila ko abu harisa ne manzur kar liya . Aur tai paya ki subah nikal kar maidan me mubahila karenge likin jab abu harisa nasraniyon ke pass pahuncha to uss ne apne admiyon se kaha ki ye meri khom ! Tum logon ne achchi tarha  jan liya aur pahchan liya ki Mohammed Sallallahu Alaihi o Sallam Nabi e Akhiruzzaman hai aur khub yad rakho ki jo khom kisi nabi e barhak ke saath mubahila karti hai uss khom ke chote bade saab halak ho jate hain. Iss liye behtar yehi hai ki in se sulah kar ke apne vatan ko vapas chale chalo aur hargiz hargiz in se mubahila na karo. Chunanche, Subah ko abu harisa. Jab Huzur Alaihis Salam ke samne aya to ye dekha ki Aap hazrate Husain Raziyallahu Tala Anha ko god me uthaye huve aur Hazrate Hasan Raziyallahu Tala Anha ki ungli thame huve hain Hazrate Fatima Va Hazrate Ali Raziyallahu Tala Anha Aap ke piche chal rahe hain aur Aap in longon se farma rahe hain ki main jab dua karun to tum log "Ameen" kahna . Ye manzar dekh kar Abu Harisa Khof se kamp utha aur kahane laga ki ye gurohe nasara ! Main yese chehron ko dekh raha hun ki agar Allah Tala chahe to in chehron ki badolath pahad bhi apni jagah se hata kar chal padega ! Lihaza ye meri khom ! Hargiz hargiz mubahila na karo varna halak ho jaoge aur ruhe zamin par kahin koi bhi nasrani bakhi na rahega. Fir uss ne kaha ki ye abal khasim ! Ham Aap se mubahila nahi karenge aur ham ye chahte hain ki ham apne hi din par khayim rahen. Huzur Sallallahu Alaihi o Sallam ne un logon se kaha ki tum log islam khabul kar lo taki tum logon ko musalmano ke hukhuq hasil ho jayen, nasraniyon ne islam khabul karne se saaf inkar kar diya. To Aap ne farmaya ki fir mere liye tumhare saath jang ke siva koi charah nahi. Ye sun kar nasraniyon ne kaha ki ham log arabon se jang karne ki takath nahi rakhte . Lihaza ham iss sharth par sulha karte hain ki Aap ham se jang na karen aur ham ko apne hi deen par khayim rahne den aur ham batore jizaya Aap ko har saal ek hazar kapdon ke jode dete rahenge. Chunanche, Huzur Sallallahu alaihi o Sallam ne iss sharth par sulah farmayi aur un nasraniyon ke liye amno aman ka parvana likh diya. Iss ke baad Aap ne farmaya ki nazran valon par halakat va barbadi an pahunchi thi . Magar ye log bach jaye agar ye log mujh se mubahila karte to maskh ho kar bandar aur khinzir ban jate aur in ki badi me yesi Aag bhadak utti ki nazran ki kul abadi yahan tak ki charinde aur parinde bhi jal bhun kar raakh ka dher ban jate aur rooh zamin ke tamam Isayi saal bhar me fana ho jate.

Darse Hidayath:

              Iss se malum huva ki khuda ke rasoolon ke saath mubahila karna halakath va barbadi hai balki ambiya va auliya aur Allah valon ka mukhabla karna aur in logon ki bad dua ka samna karna, barbadi va halakat hai balki khuda ke in mahbub bandon ki zara si be adbi aur dil azari bhi insan ko fana ke ghat utar deti hai aur yesi tabahi va barbadi lati hai jis ka koi ilaj hi nahi.

Hazrate Khaznadi Alaihi Rahama Aur Basati Shayir:

              Chunanche, Mankhul hai ki Hazrate Kamaluddin Khaznadi Alaihi Raham ek martaba shayiron ke majMa me tashrif le gaye to basati shayir ne Aap ko dekh kar nihayath hi bad tamiz aur behudagi ke andaz me ye misra bak diya :
Tarjuma:-  Tum kahan se Aaye tum kahan se Aaye ye bad-Maash ! (Mazallah)
                   Aap ne ye samajh kar ki nashe me bak raha hai kuch zaida naraz nahi huve balki tafrihan javab me ek misra kah diya ki !
Tarjuma:-   Main Khajnad se aya, main khajnad se aya, main khajnad se aya fir Aap ne majMa se mukhatab ho kar farma diya ki ye nashe me badmasth hain jo muh me ata hai kah deta hai, Iss se kuch na kaho ye sun kar basati kamine ne Aap ki hiju me ek sher ye kah diya ki
Tarjuma:-   Ye Mulhid khajnadi tu bahut badi dadi rakhta hai ki iss ki badayi ko dekh kar iss ko das dadiyan kah sakte hain ! (Mazallah)
                  Majma e Aam me ye huju sun kar Aap ko sakht nagavari huyi aur Aap ne kahar alud nazron se dekh kar bad dua di to bighair kisi bimari ke basati shayir ek dam mar kar zamin par gir pada aur sab log dekhte ke dekhte rah gaye.

Abul Hasan Hamdani Ki Murgi:

                   Buzurgon ke mijaz ke khilaf koi kam karna bhi badi badi musibaton ka pesha khaima huva karta hai. Chunanche,Hazrate khwaja abdul hasan hamdani ka vaskhiya hai ki ye ek martaba hazrate khwaja jafar khalidi Alaihi Rahama ki ziyarath ko gaye aur ghar me ye kah gaye the ki mere liye tannur me murgi bhun kar tayyar rakhi jaye . Hazrate khwaja jafar khalidi Alaihi Rahama ne in ko hukum diya ki tum raath mere yahan basar karo. Magar in ka dil chunki murgi me laga huva tha iss liye koi khub surath bahana kar ke ye apne ghar ravana ho gaye.Hazrate Khwaja jafar ke dil par iss ka malal guzra. Iss ki nuhusath ka ye asar huva ki jab khwaja abdul hasan hamdani dastarkhwan par murgi khane ke liye baite aur zara si gaflath huyi to ek kutta ghar me Aa gaya aur murgi le kar bhaga aur uss ko ek gandi nali me dal diya.Hazrate khwaja abdul hasan hamdani jab subah ko hazrate khwaja jafar khalidi alaihi rahama ki khidmath me hazir huve to Aap ne in ko dekhte hi farmaya ki jo shakhs mashayikhe kiram ki khalbi khwahish ka yehtiram nahi karta, uss par isi tarha ek kutta musallath kar diya jata hai jo us ko yiza deta hai ye sun kar khwaja abdul hasan hamdani sharmo nadamath se pani pani ho gaya.

Balkha Ka Har Admi Jhuta Ho Gaya:

Hazrate Khwaja Abu Ali Dakkhak Alaihi Rahama ka Bayan hai ki jab balkha valon ne bila kusur Hazrate khwaja Mohammed Bin Fazal ko shahar badar kar diya to Aap ne shahar valon ko ye bad dua di ki ya Allah in logon ko sachchayi ki tofikh na de. Iss ka ye anjam huva ki barson tak iss shahar me koi sachcha admi bakhi na raha aur shahar ka har admi bala ka jhuta ho gaya aur ye jhuton ka shahar kahlane laga.
         Bahar haal Buzurgon ko apni kisi harkath se bhi naraz nahi karna chahiye varna in buzurgon ke kalb ka adna sa gubar kahare ilahi ki andhi ban kar, tumhen halakath va barbadi ke ghar me gira kar nasto nabud kar dega.
                                   Khuda Ka Kahar Hai Un Ki Nigaah Ki Gardish
                                     Gira Jo Un Ki Nazar Se Sambhal Nahi Sakta