A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 11:12:00 AM by shayarkishayari in    No comments
ibrahim alaihis salam
Ye ek Mukhaddas patthar hai jo Kaaba e Muazzama se chand gaz ki duri par rakha huva hai. Ye vahi patthar hai ki jab hazrate ibrahim alaihis salam kaaba e mukarrama ki tamir farma rahe the to jab divaren sar se unchi ho gayi to isi patthar par khade ho kar Aap ne Kaaba e Muazzama ki divaron ko mukammal farmaya. Ye Aap ka mojiza tha ki ye patthar mom ki tarha narm ho gaya aur Aap ke dono mukhaddas kadmo ka iss patthar par bahuth gahra nishan pad gaya. Aap ke kadmon ke mubarak nishan ki badolath iss mubarakh patthar ki fazilath va azmat me iss tarha char chand lag gaye ki khudavande khuddus ne apni kitab mukhaddas Quran e Majid me do jagah iss ki azmath ka khuthba irshad farmaya. Ek jagah to ye irshad farmaya ki .

Fihi Ayatum Bayinatum Makhamu Ibrahim

 Tarjuma e Kanzul Imaan:
                 Yani Kaaba e Mukarrama me khuda ki bahuth si roshan aur khuli huyi nishaniyan hain aur in nishaniyon me se ek badi nishani "Makhame Ibrahim" hai aur dusri jagah iss patthar ki azmath ka yelan karte huve ye farmaya ki.

Vattakhizu Mim Makhami Ibrahima Musallah

Tarjuma e Kanzul Imaan:
                Aur Ibrahim ke khade hone ki jagah ko namaz ka makham banao.

Char Hazar baras ke tavil zamane se iss ba barakath patthar par hazrate ibrahim khalillullah Alaihis Salam ke mubarak kadmo ke nishan  mauzud hain.iss tavil muddath se ye patthar khule asman ke niche zamin par raka huva hai. Iss par char hazar barson guzar gayi, hazaron andhiyon ke jhonke iss se takraye. Barah Harme Kaaba me pahadi nalon se barsath me sailab aya aur ye mukhaddas patthar sailab ke tez dharon me duba raha, karodon insano ne iss par hath fera magar iss ke bavajud Aaj tak Hazrate Khalil Alaihis Salam ke jalul khadr kadmo ke nishan iss patthar par bakhi hain jo bila shuba hazrate ibrahim alaihis salam ka ek bahuth hi bada aur nihayath hi muazzam mojiza hai. aur yakhinan ye patthar khudavande khuddus ki ayate bayyinath aur khuli huyi nishaniyon me se ek  bahuth bada nishan hai. Aur uss ki shaan ka ye azimushaan nishaan har musalman ke liye bahuth badi ibrath ka saman hai ki khudavande khuddus ne tamam musalmano ko ye hukum diya ki tum log mere mukhaddas ghar khana e kaaba ke tavaf ke baad isi patthar ke pas do rakath namaz ada karo.Tum log namaz to mere liye pado aur sajda mera ada karo lekin mujhe ye mahbub hai ki sajdon ke vakhath tumhari peshaniyan uss mukhaddas patthar ke pas zamin par lagao ki jis patthar par mere khalile jalil hazrate ibrahim alaihis salam ke kadmon ka nishan bana huva hai.

Darse Hidayath:

            Musalmano ! Makhame Ibrahim ki azmate shaan se ye sabak milta hai ki jis jagah allah azzawajal ke mukhaddas bandon ka  koi nishan maujud ho vo jagah allah tala ke nazdik bahuth zaida izzath va azmath vali hai aur uss jagah khuda ki ibrath khuda ke nazdik bahuth hi behtar aur mahbub tar hai.

           Jab ghor karo ki makhame ibrahim jab hazrate khalillullah alaihis salam ke khadmo ke nishan ki vajah se ithna muazzam va mukarram ho gaya to khuda ke mahbube akram aur habibe muazzam sallallahu alaihi o sallam khabre anvar ki azmath va buzurgi aur iss ke takhaddus va sharaf ka kai alam hoga ki jaha Habibe Khuda Sallallahu Alaihi O Sallam ka sirf nishan hi nahi balki khuda ke mahbube akram Sallallahu Alaihi O Sallam ka pura jisme anvar maujud hai aur iss zamin ka zarrah zarrah anvare nabuvath ki tajalliyon se rashke aftab va ghairate mahatab bana huva hai. Musalmano ! Kash Quran e Majid ki ye ayaten logon ki Aankhon me imaani basirath ka noor paida karen taki log khabre anvar ki tazimo takrim kar ke dono jahan me mukarram va muazzam ban jayen aur iss ki tohin va be-Adbi kar ke shaitan ke panje gumrahi me giraftar na ho aur jahannam ke azabe muhin me na pad jayen aur kaash in chamakti huyi ayate bayyanath se najdiyon aur vahabiyon ko ibrath hasil ho jo huzur sallallahu alaihi o sallam ki khabre munavar ko mitti ka dher kaha kar iss ki tohin va be-Adbi karte rahte hain aur gumbade khazra ko munhadim karne aur gira kar mismar kar dene aur nishane khabr mita dene ka plan banate rahte hain. Nauzbillah