On 10:00:00 AM by shayarkishayari in Lecture No comments
Jab Hazrate Nabi Musa Alaihis Salam ka Asa azdah ban kar jadugaron ke sampon ko nigal gaya to jadugar sajde me gir kar imaan laye. Magar Firon aur uss ke muttabeyin ne Aab bhi Imaan khabul nahi kiya. Balki Firon ka kufr aur uss ki sarkashi aur zaida bad gayi aur uss ne Bani Israel ke mominin aur Hazrate Musa Alaihis Salam ki dil azari aur yiza rasani me bharpur koshish shuru kar di aur tarah tarah se satana shuru kar diya. Firon ke mazlim se tang dil ho kar Hazrate Musa Alaihis Salam ne Khudavande Khuddus ke Darbar me iss tarha dua mangi ki " Ye Mere Raab ! Firon zamin me bahuth hi sarkash ho gaya hai aur iss ki khom ne ahad shikni ki hai lihaza tu inhen yesa azabon me giriftar farma le jo in ke liye sazavar ho. Aur meri khom aur baad valon ke liye ibrath ho".
Hazrate Musa Alaihis Salam ki dua ke baad Allah Tala ne fironiyon par lagatar 5 azabon ko musallath farma diya vo panchon azab ye hain:
Hazrate Musa Alaihis Salam ki dua ke baad Allah Tala ne fironiyon par lagatar 5 azabon ko musallath farma diya vo panchon azab ye hain:
1.Tufan:
Nagahan ek Aabr aya aur har taraf andhera cha gaya fir intihayi zordar barish hone lagi. Yahan tak ki tufan Aa gaya aur fironiyon ke Gharon me pani bhar gaya. Aur vo iss me khade rah gaye aur pani unn ki gardano tak Aa gaya un me se jo baitha vo dub kar halak ho gaya. Na hil sakte the na koi kam kar sakte the. Un ki khetiyan aur baghaath tufan ke dharon se barbad ho gaya. Sanichar se Sanichar tak musalsal 7 roz tak vo log isi musibath me mubtala rahe aur bavajud ye ki bani israel ke makanath fironiyon ke gharon se mile huve the magar bani israel ke gharon me sailab ka pani nahi aya aur vo nihayath hi amno chain ke saath apne gharon me rahte the. Jab fironiyon ko iss musibath ke bardash karne ki tab va takhath na rahi aur vo bilkul hi aziz ho gaya to un logon ne Hazrate Musa Alaihis Salam se arz kiya ki Aap hamare liye dua farmayiye ki ye musibath tal jaye to ham imaan layenge aur bani Israel ko Aap ke pass bhej denge.Chunanche,Aap ne dua mangi to tufan ki bala tal gayi aur zamin me yesi sar sabzi aur shadabi numudar huyi ki iss se pahle kabhi bhi dekhne me na ayi thi. Khetiyan bahuth shandar huyi aur gallon aur falon ki paidavar beshumar huyi ye dekh kar fironiyon kahne lage ki ye tufan ka pani to hamare liye bahuth badi nemath ka saman tha. Fir vo apne ahad se fir gaye aur imaan nahi laye aur fir sarkashi aur zulmo isyan ki garm bazari shuru kar di.
2.Tiddiyan:
Ek maah tak to fironiyon nihayath afiyath se rahe lekin jab in ka kufr va takabbur aur zulmo sitam fir badne laga to Allah Tala ne apne kaharo azab ko tiddiyon ki shakal me bhej diya ki charon taraf se tiddiyon ke jhund ke jhund Aa gaya jo in ki khetiyon aur baghon ko balki yahan tak ki in ke makano ki lakdiyan tak ko kha gayi aur foroniyon ke gharon me ye tiddiyan bhar gayi jis se in ka sans lena mushkil ho gaya magar bani Israel ke mominin ke kheth aur bagh aur makanath in tiddiyon ki yalgar se bilkul mahfuz rahe. Ye dekh kar fironiyon ko badi ibrath ho gayi aur akhir iss azab se tang Aa kar fir Hazrate Musa Alaihis Salam ke age ahad kiya ki Aap iss azab ke dafa hone ke liye dua farma den to ham log zarur imaan le ayenge aur bani israel par koi julmo sitam na karenge. Chunanche, Aap ki dua se satven din ye azab bhi tal gaya aur ye log fir ek maah tak nihayath hi aram va rahath me rahe. Lekin fir ahad shikni ki aur imaan nahi laye. In logon ke kufr aur isyan me fir izafa hone laga. Hazrate Musa Alaihis Salam aur mominin ko izayen dene lage aur kahne lage ki hamari jo khetiyan aur fal bach gaya hai vo hamare liye kafi hai.Lihaza ham apna din chod kar imaan nahi layenge.
3.Ghun:
Gharaz ek maah ke baad in logon par "Kamal" ka azab musallath ho gaya. Baaz mufassirin ka bayan hai ki ye ghun tha jo in fironiyon ke anajon aur falon me lag kar tamam gallon aur mevon ko khaa gaya aur baaz mufassirin ne farmaya ki ye ek chota sa kida tha, Jo khetiyon ki tayyar fasalon ko chat kar gaya aur in ke kapdon me ghus kar in ke chamdon ko kaat kaat kar inhen murge bismil ki tarha tadpane laga. Yahan tak ki in ke saar ke balon, dadi, munchon,bhavon palkon ko chat chat kar aur chehron ko kaat kaat kar inhen chechak roo bana diya. Ye kide in ke khano,paniyon aur bartano me ghus jate the. Jis se ye log na kuch kha sakte the na kuch pee sakte the na lamhe bhar ke liye so sakte the. yahan tak ki ek hafte me iss kahare asmani va balaye nagahani se bilbila kar ye log chikh pade aur fir Hazrate Nabi Musa Alaihis Salam ke Huzur hazir ho kar dua ki darkhasth karne lage aur imaan lane ka ahad dene lage chunanche, Aap ne in logon ki bekharari aur girya va zari par raham kha kar dua kar di. Aur ye azab bhi rafa dafa ho gaya. Lekin fironiyon ne fir apne ahad ko tod dala. Aur pahle se bhi zaida zulm va udvan par kamar basta ho gaye. Fir ek maah ke baad in logon par mendak ka azab nazil ho gaya.
4.Mendak:
In Firon valon ki bastiyon aur in ke gharon me achanak beshumar mendak paida ho gaye aur in zalimon ka ye hal ho gaya ki jo admi jaha bhi baitta uss ki majlis me hazaron mendak bhar jate the. Koi admi baath karne ya khane ke liye muh kholta to uss ke muh me mendak khud kar ghus jate. Handiyon me mendak, un ke jismon par sekdon mendak suvar rahte. Utne,baitne,laitne kisi halat me bhi mendakon se nazath nahi milti thi. Iss azam se firon volon ro pade aur fir rote gid gidate Hazrate Musa Alaihis Salam ki bargah me dua ki bhik mangne ke liye aye aur badi badi khasme kha kar ahado paiman karne lage ki ab ham zarur imaan layenge aur mominin ko kabhi yiza nahi denge. Chunanche, Hazrate Nabi Musa Alaihis Salam ki dua se sathven din ye azab bhi utha liya gaya magar ye mardud khom rahath milte hi fir apna ahad tod kar apni pahli khabis harkaton me mashgul ho gayi. Mominin ko satane lage aur Hazrate Nabi Musa Alaihis Salam ki tohin va be adabi karne lage to fir azabe ilahi ne in zalimon ko apni girafth me le liya aur un logon par khoon ka azab kahare Ilahi ban kar utr pada.
5.Khoon:
Ek dam bilkul achanak un logon ke tamam kuvon, naharon ka pani khoon ho gaya to un logon ne firon se faryad ki, to us sarkash ne kaha ki ye Hazrate Musa Alaihis Salam ki jadugari aur nazarbandi hai. ye sun kar firon valon ne kaha ki ye kaisi aur kahan ki nazar bandi hai ? ki hamare khane pine ke bartan khoon se bhare pade hain aur mominin par iss ka zara bhi asar nahi to firon ne hukum diya ki fironi log mominin ke saath ek hi bartan se pani nikalen. Magar khuda ki shaan ki mominin usi bartan se pani nikalte to nihayath hi saaf saffaf aur shirin pani nikalta aur fironi jab usi bartan se pani nikalte to taza khalis khoon nikalta. Yahan tak fironi log pyar se be kharar ho kar mominin ke pas aya aur kaha ki ham dono ek hi bartan se ek hi saath muh laga kar pani piyenge magar Khudrate Khudavandi ka azib jalva nazar ata. Ek hi bartan se ek saath muh kar dono pani pite the magar mominin ke muh me jo jata vo pani hota tha aur firon valon ke muh me jo jata vo khoon hota tha. Majbur ho kar firon aur fironi log dhas aur darakhton ki jaden aur chalen chaba chaba kar chuste the magar iss ki rutubath bhi un ke muh me jaa kar khoon ban jani thi. Al garaz fironiyon ne fir gid gida kar Hazrate Musa Alaihi Salam se Dua ki Darkhwasth ki. To Aap ne paighambarana rahamo karam farma kar fir in logon ke liye duaye khair farma di to saathven din iss khooni azab ka saya bhi un ke saron se ut gaya. Al gharaz in sarkashon par musalsal panch azab ate rahe aur har azab saathven din talta raha aur har do azabon ke darmiyan ek maah ka fasila hota raha magar firon aur fironiyon ke dilon par shakhavath va bad bakhti ki yesi mohar lag chuki thi ki fir bhi voh imaan nahi laye aur apne kufr par ade rahe aur har martaba apna ahad todte rahe. Yahan tak ki Allah Tala ke kaharon gazab ka akhiri azab Aa gaya ki firon aur uss ke muttabeyin saab daryaye Neel me gharkh ho kar halak ho gaye aur hamesha ke liye khuda ki dunya in ahad shikno aur mardudon se paak va saaf ho gayi aur ye log dunya se iss tarha nasto nabud kar diye gaye ki roohe zamin par in ki khabron ka nishan bhi bakhi nahi rah gaya.
Quran e Majid ne in mazkuraye bala panchon azabon ki tasvir kashi in alfaz me farmayi hai.
Tarjuma e Kanzul Imaan:
To Bheja ham ne un par tufan aur tiddi aur ghun(ya kilni ya juyen) aur mendak aur khoon juda juda nishaniyan to unhon ne takabbur kiya aur vo mujrim khom thi aur jab un par azab padta kahate : Ye Musa ! hamare liye apne raab se dua karo uss ahad ke sabab jo su ka tumhare pass hai beshak agar tum ham par se azab utha doge to ham zarur tum par imaan layenge aur bani israel ko tumhare haath kar denge fir jab ham un se azab utha lete ek muddath ke liye jis tak unhen pahunchana hai jabhi vo fir jate to ham ne un se badla liya to unhen daraya main dabo diya iss liye ki hamari ayaten jhutlate aur in se be khabar the.
Darse Hidayath:
1. In vakhiyath se ye sabak milta hai ki ahad shikni aur Allah ke nabiyon ki takzib va tohin kitna bada aur holnak zurm azim hai ki iss ki vajah se fironiyon par bar bar azabe ilahi khism khism ki suraton me utara. Yahan tak ki alhir me vo darya me gharkh kar ke dunya se fana kar diye gaye. Lihaza har Musalman ko ahad shikni aur sarkashi aur gunahon se bachte rahna lazim hai ki kahin bad amaliyon ki nuhusaton se ham par bhi kahare ilahi azab ki surath me na utar pade.
2. Hazrate Musa Alaihis Salam ka sabr va tahammul aur in ki rakhikul balbi bila shuba intiha ko pahunchi huvi thi ki baar baar ahad shikni karne vale apne dushmano ki aho fugan par raham kha kar in ke azab ko dufaa karne ki dua farmate rahe iss se malum huva ki khom ke hadi aur in ke peshva ke liye sabr va tahammul aur afva darguzar ki khaslath intihayi zaruri hai aur ulmaye kiram ko jo hazarate ambiya e kiram alaihis salam ke nayibin hain in ke liye behad lazim va zaruri hai ki vo apne mukhalifin aur bad khwahon se intikham ka jazba na rakhen balki sabro tahammul kar ke apne mujrimo ko bar bar muaf karte rahen. ki ye hazrate musa alaihis salam ki mukhaddas sunnat bhi hai aur hamare nabiyye akhiruzzama sallallahu alaihi o sallam ko to ye ek bada hi khas aur khususi turraye imtiyaz hai ki Aap ne kabhi bhi apni zaath ke liye apne dushmano se koi bhi intikham nahi liya balki hamesha un ko muaf farma diya karte the. Aur ye Aap ki mukhaddas talim ka bahuth hi tabnak aur darkhwash irshad hai ki
Yani tum se jo talluk kate tum uss se talluk jodo aur jo tum par zulm kare uss ko muaf kar do aur jo tumhare saath bura bartav kare tum uss ke saath achcha suluk karo.
Hazrate Shaikh Sadi Alaihi Rahama ne isi hadis ki tarjumani karte huve irshad farmaya ki
Yani Burayi ka bura badla dena to bahuth asan hai lekin agar tum javan mard ho to burayi karne vale ke saath bhalayi karo.
Yani tum se jo talluk kate tum uss se talluk jodo aur jo tum par zulm kare uss ko muaf kar do aur jo tumhare saath bura bartav kare tum uss ke saath achcha suluk karo.
Hazrate Shaikh Sadi Alaihi Rahama ne isi hadis ki tarjumani karte huve irshad farmaya ki
Yani Burayi ka bura badla dena to bahuth asan hai lekin agar tum javan mard ho to burayi karne vale ke saath bhalayi karo.
Fironiyon Par Lagatar 5 Azab
2015-05-08T10:00:00+05:30
shayarkishayari
Lecture|
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Search
Deal of The Day
Popular Posts
Categories
Sample Text
Subscribe via Email
Powered by Blogger.
Featured Posts
Ek Tariqhi Munazara