A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 10:00:00 AM by shayarkishayari in    No comments
hazrat ibrahim
              Mufassirin ka Bayan hai ki " Namrud Bin KiraAan" Bada jabir badshaah tha. Saab se pahle isi ne Taje Shaahi apne saar par rakha. Iss se pahle kisi badshaah ne Taj nahi pahana tha. Ye logon se zabardasti apni parstish karata tha aur kahin aur nujumi iss ke darbar me ba kasrath iss ke mukharrab the. namrud ne ek raath ye khwab dekha ki ek sitara nikala aur uss ki roshni me chand, suraj vaghaira sare sitare be noor ho kar rahgaye. khahino aur nujumiyon ne iss khwab ki ye tabir di ki ek farzand yesa hoga jo teri badshaahi ke javab ka bayis hoga. ye sun kar namrud behad pareshan ho gaya aur uss ne ye hukum de diya ki mere shahar me jo bachcha paida ho vo katl kar diya jaye. Aur mard auraton se juda rahen. Chunanche, Hazaro bachche katl kar diye gaye. Magar takhdirate ilahiya ko kon tal sakta hai ? isi doran Hazrate Ibrahim Alaihis Salam paida ho gaye aur badshaah ke khof se in ki valida ne shahar se door pahad ke ek ghar me in ko chupa diya isi ghar me chup kar in ki valida rozana dood pila diya karti thi. Baaz mufassirin ka kol hai ki 7 bars ki umr tak aur baazon ne tahrir farmaya ki 17 baras tak Aap isi ghar me parvarish pate rahe.

          Uss zamane me Aam tor par log sitaron ki puja kiya karte the. ek raath Aap Alaihis Salam ne Zahara ya Mustari sitare ko dekha to khom ko tohid ki davath dene ke liye Aap ne nihayath hi nafis aur dil nashin andaz me logon ke samne iss tarha takhrir farmayi ki ye logon ! Kai sitara mera raab hai ? Fir jab vo sitara dub gaya to Aap ne farmaya ki dub jane valon se mai mohabbath nahi rakhta. Fir iss ke baad jab chamakta chand nikala to Aap ne farmaya ki kai ye mera raab hai? Fir jab vo bhi ghurub ho gaya to Aap ne farmaya ki agar mera raab mujhe hidayath na farmata to main bhi nahi gumrahon me se hota. Fir jab chamakte damakte suraj ko dekha to Aap ne farmaya ki ye to in saab se bada hai, kai ye mera raab hai ? Fir jab ye bhi gurub ho gaya to Aap ne farmaya ki ye meri khom ! main in tamam chizon se bezar hun jin ko tum log Khuda ka sharik taharate ho. Aur main ne apni hasti ko uss zaath ki taraf mutavajjeh kar liya hai jis ne asmano aur zamino ko paida farmaya hai. Bas main sirf usi ek zaath ka abid aur pujari ban gaya hun aur main shirk karne valon me se nahi hun. Fir in ki khom in se jhagada karne lagi to Aap ne farmaya ki tum log mujh se khuda ke bare me jhagadte ho ? uss khuda ne to mujhe hidayath di hai aur main tumhare jhute mabudon se bilkul nahi darta. Sun lo ! Bighair mere raab ke hukum ke tum log aur tumhare devata mera kuch bhi nahi bigad sakte. Mera raab har chiz ko janta hai. Kai tum log meri nasihat ko nahi manoge ? iss vakhiye ko mukhtasar magar bahuth jameAa alfaz me Quran e Majid ne yun bayan farmaya hai.
surah ibrahim ayat 40
Tarjuma e Kanzul Imaan:
                  Fir jab un par raath ka andhera aya ek tara dekha bole ise mera raab taharate ho ? Fir jab vo dub gaya bole mujhe khush nahi ate dubne vale fir jab chand chamakta dekha bole ise mera raab batate ho ? Fir jab vo dub gaya kaha agar mujhe mera raab hidayat na karta to main bhi inhi gumrahon me hota fir jab suraj jagmagata dekha bole ise mera raab kahte ho ? ye to in saab se bada hai. Fir jab vo dub gaya, Kaha : Ye khom main bezar hun un chizon se zinhe tum sharik tahrate ho. Main ne apna muh uss ki taraf kiya jis ne asmano zamin banaya ek usi ka ho kar aur main mushrikon me nahi.

Darse Hidayath:

              Ghor kijiye ki kitna dilkash tarze bayan aur kis khadar muassir tarikhaye istidlal hai ki na koi sakht kalami hai, na kisi ki dil azari, na kisi ke jazbaath ko thes laga kar uss ko gussa dilana hai bas apne makhdas ko nihayath ki hasin pairaye aur khoob surath andaz me munkirin ke samne dalil ke saath pesh kar dena hai. Hamare sakht go aur talkha zaban mukharririn ke liye iss me hidayath ka behtarin dars hai. mola tala tofiq ata farmaye. Ameen.