A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 9:33:00 AM by shayarkishayari   No comments


Mulk-e-Shaam Ka Dusra Safar.....


Huzur E Akdasصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم BUSHRA Ke Bazar Me Bahut Jald Tijarat Ka Maal Farowkht Kar Ke Makkah Mukarrama Wapis Aaye.

Wapsi Me Jab Aap Ka Kafila Saher E Makkah Me Dakhil Hone Laga To Hazrat E BIBI Kahdeejah Radi’ALLAHU Tala Anha Ek Bala Khaana (Makan Ki Chhat) Par Baithi Huvi Kafile Ki aamad Ka Manzar Dekh Rahe The.

Jab Aap Ki Nazar Huzurصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Par Padhi to Inhone Dekha Ki Do Farishte Aapصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ke Sar Par Dhoop Se Saya Kiye Huve Hai.

Hazrat Khadeejah Radi’ALLAHU Tala Anha Ke Kalb Par Is Noorani Manzar Ka Ek Khaas Asar Huva Aur Woh Firt E Akidat Se Intihayi Walehana Muhabbat Ke Sath Ye Haseen Jhalwe Dekhte Rahe. Fir Apne Gulam Maisra Se Inhone Kayi deen Ke Ba’ad is Ka Zikr Kiya To Maisra Ne Batay Ki Me To Pure Safar Me Yahi Manzar Dekhta Raha Hu.

Aur Is Ke Alawa Bahut Se Ajeeb-wa-Gareeb Bato Ka Mushahida Kiya Hai. Fir Maisra Ne Nastoora Raheeb Ki Guftagu Aur Iski akeedat wa Muhabbat Ka Tazkeerah Bhi Kiya Ye Sun Kar Bibi Khadeejah Radi’ALLAHU Tala Anha Ko Aap S be panah Kalbi Ta’alluk Aur Be Had Akeedat Wa Muhabbat Ho gayi Aur Yaha Tak In Ka Dil Jhuk Gaya ke Unhe Aapصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Se Nikah Ki Ragbat Ho Gayi..

📙(Madarijjunnabuwat-2, Baab-2 Shafa 27)

AZEEM MERI ZUBAN KAHA ?

AUR KAHA WO ZAAT...

NAAM MERA UNKE ZIKR SE CHAMKA RAHA HU ME....

AAP صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم KE
NIKAH.......


Hazrat Bibi Khadeejah Radi’ALLAHU Ta’ala Anha Maal wa Doulat Ke Sath Intihayi Shareef Aur Pakeezah Khatoon The.

Ahle Makkah In Ki Paak Damni Aur Parsayi Ki Wajah se In Ko TAHERA(Pakizah) Kaha Karte The.

In Ki Umr Chalees (40) Saal Ki Ho Chuki Thi Pahele In Ka Nikah Abu Hala Bin Zurah Tamimi Se Huva Tha Aur In Se Do Ladke ‘Hind Bin abu Hala’ Aur ‘Hala Bin Abu hala’ Paida Ho chuke The.

Abu Hala Bin Zurah Ke Inteqal Ke baad Hazrat E Khadeejah Ne Dusra Nikah ‘Ateeq Bin Aabid Makhzoomi’ Ke Sath Kiya.

In se Bhi Do Aowlade Huvi,
Ek Ladka ‘Abdullah Bin Ateeq’
Aur Ek ladki ‘Hind Bint E Ateek’.

Hazrate Khadeejah Radi’ALLAHU Tala Anha Ke Dusre Sohar ‘Ateeq’ Ka Bhi Inteqal Ho chukka Tha,
Bade Bade Sardaran E Qurraish In Ke Sath Akd E Nikah Ke Khwahish Mand The Lekin Inhone Sab Ka Paigam Ko Thukra Diya.

Magar Huzur E Akdas Ke Paygambarana Akhlaaq Wa Aadat Ko Dekh Kar Aur Aapصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ke Hairat Angez Halat (Is Se Paheli POST Me Aagaya Who 2-Safar E Shaam Ke Halat)
Ko Sun Kar yaha Tak In Ka Dil Aap Ki Taraf Mayil Ho Gaya Ke Khud Ba Khud In Ke Kalb Me Aap Se Nikah Ki Ragbat Paida Ho Gayi.

Yaha To Bade Bade Maldaaro Aur Saher E Makkah Ke Sardaro Ke Paygamo Ko Rad Kar Chuki Thi Aur Ye Te’y Kar Chuki Thi Ke Ab Chalees Baras Ki Umr Me Tisra Nikah Nahi Karugi Aur Khud Hi Huzurصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ki PhuPhi Safiyya Radi’ALLAHU Tala Anha Ko Bulaya Jo In Ke Bhai Awwam Bin Khuwaild Ki Biwi Thi In Se Huzurصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ke Kuchh Zati Halat Ke Bare Me Mazed Ma’alumat Hasil Ki.

Fir ‘NAFISA Bint E Ummaiya’ Ke Zariye Khud Hi Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ke Pas Nikah Ka Paigam Bheja.

Mash’hoor IMAAM E Seerat Muhammad Bin Ishaaq Ne Likha Hai Ki Is Rishte Ko Pasand Karne Ki Jo Wajah Khadeejah RadiALLAHU Tala Anha Ne Khud Huzurصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Se Bayan Ki Hai Who Khud In Ke Alfaaz Me Ye Hai ‘ ’ Yaani Me Ne Aapصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ke Achhe Akhlaq Aur Aap Ki Sachchayi Ki Wajah Se Aap Ko Pasand Kiya .

📔 (Zurkani Alal Mawahib-1,Shafa 200)

Huzurصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ne Is Rishte Ko Apne Chacha Abu Talib Aur Khandaan Ke Dusre Bade Buzurgo Ke Samne Pesh Farmaya...

Bhala Hazrat e Khadeejah Radi’ALLAHU Tala Anha Jaisi Paak Daman, Shareef,
Akalmand, Aur Maldaar Auwrat se Shadi Karne Ki Koun NA Kaheta..?

Sare Khandaan Walo Ne Nihayat Khushi Ke Sath Is Rishte Ko Manzoor Kar Liya.
Aur Nikah Ki Tareekh Mukarrar Huvi Aur Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Hazrat Hamzah RadiALLAHU Tala Anhu Aur Abu Talib Wagairah Apne Chachauo Aur Khaandan Ke Dusre Afrad Aur Bani Hashim Ke Buzurgo,
Aur Muzar Ke Sardaaro Ko Apni Barat Me LeKar Hazrat E Bibi Khadeejah Radi’ALLAHU Tala Anha Ke Makan Par Tashreef Le Gaye Aur Nikah Huva.

Is Nikah Ke Waqt Abu Talib Ne Nihayat Hi Fasih wa Balig Kutba Pardha.
Is Khutbe Se Bahut Achhi Tarah Is Baat Ka Andaza Ho Jata Hai Ki Aelaan-e-Nabuwwat Se Pahele Aapصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ke Khandaan Ke Bade buzurgo Ka Aap Ke Muta’allek Kaisa Khayal Tha Aur Aap Ke Akhlaq Wa Aadat Ne In Logo Par Kaisa Asar Dala Tha.

Is Khutbe Ka Tarjuma Padhe


Tamam Ta’areefe Is Khuda Ke Liye Jis Ne Ham Logo Ko Hazrat Ibrahim Alyhissalaam Ki Nasl Aur Hazrat Ismaail Alyhissalaam Ki Aouwlad Me Banaya Aur Ham Ko AMMAD Aur MUZAR Ke Khandaan Me Paida Farmaya Aur Apne Ghar(Kaaba) Ka Nigehbaan Aur Apne Haram Ka Muntazeem Banaya Aur Ham Ko Ilm wa Hikmat Wala Ghar Aur Amn Wala Haram Ata Farmaya Aur Ham Ko Logo Par Hakim Banaya.

Yeh Mere Bhai Ka Farzand ‘MUHAMMAD BIN ABDULLAH’ Hai.
Ye Ek Aise Jawaan Hai Ki Kurraish Ke Jis Shakhsh Ka Bhi Is Ke Sath Misaal Rakhi Jaye Is Se Har Shaan Me Bardha Huva Hi Rahega.

Ha Maal In K Paas Kam Hai Lekin M aal To Ek Dhalti Huvi Chhanw Aur Adal-Badal Hone Wali Cheez Hai.

Amm’a Ba'ad..!!

Mera Bhatija MUHAMMADصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Who Shakhsh Hai Jis Ke Sath Meri Karabat Aur Kurbat-o-Muhabbat Ko Tum Log Achhi Tarah Jante Ho.

Wo Khadeejah Binte Khuwaild Radi’ALLAHU Tala Anha Se Nikah Karta Hai Aur Mere Maal Me Se Bees(20) UNT (camel) Maher Mukarrar Karta He Aur Is Ka Mustakbeel Bahut Hi Tabnaq(Roshan),
Azimush’shan Aur Jalil-ul-qadr Hai’.

📚 (Zurkani Alal Mawahib-1, S.201)

📬Continue.....