A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 12:17:00 PM by shayarkishayari in    No comments

 Sahibe Avlad Aur Banj : Allah Tala ka dastur ye hai ki vo kisi ko sirf beti ata farmata hai aur kisi ko sirf beta deta hai aur kuch logon ko beta aur beti dono hi ata farma diya karta hai. aur kuch yese log bhi hai jin ko banj bana deta hai na unhen beti deta hai na beta aur ye dasture khudavandi sirf Aam insano hi tak mahdud nahi balki uss ne apne khaas va makhsus bandon yani hazrate ambiya alaihis salam ko bhi iss khusus me charon tarha ka banaya hai. Chuchanche, hazrate loot aur hazrate shoyeb Alaihis salam ke sirf betiyan hi thi koi beta nahi tha aur hazrate ibrahim alaihis salam ko sirf bete hi bete the koi beti huyi hi nahi. Aur Huzur Khatimunnabiyyin Sallallahu Alaihi O Sallam ko Allah Tala ne char bete aur char betiyan Ata farmayi aur hazrate isa va hazrate yahya alaihis salam ke koi avlad hi nahi huyi.

         Quran e Majid me rabbul Izzath Jalla Jalalahu ne in mazmun ko in alfaz me bayan farmaya hai ki.
Tarjuma e Kanzul Imaan

                  Jise chahe betiyan ata farmaye aur jise chahe bete de ya dono mila de bete aur betiyan aur jise chahe banj kar de beshak vo ilm va khudrath vala hai.

Darse Hidayath

             Allah Tala beti de ya beta de ya dono ata farmaye ya banj bana de bahar hal ye sabhi khuda ki nematen hain. Mazkuraye bala ayat ke akhiri hisse yani "Innahu alimun Khadirun" me isi taraf ishara hai ki kon iss ke layiq hai ki uss ko beti mile aur kon iss khabil hai ki uss ko beta mile aur kon iss ki ahliyyath rakta hai ki uss ko beta aur beti dono milen aur kon yesa hai ki uss ke haq me yehi behatar hai ki uss ke koi avlad hi na ho in baton ko allah tala hi khub janta hai kuinki vo bahut ilm vala aur badi khudrath vala hai. insan apne hazar ilm va agahi ke bavajud iss muamle ko nahi janta ki insan ke haq me kai behtar hai aur kai behtar nahi hai Quran e Majid me Allah Tala ne irshad farmaya hai ki 
Sahibe Avlad Aur Banj
Sahibe Avlad Aur Banj
Tarjuma e Kanzul Imaan

                  Aur Kharib hai ki koi baath tumhen buri lage aur vo tumhare haq me behtar ho aur kharib hain ki koi baath tumhen pasand Aaye aur vo tumhare haq me buri ho aur allah janta hai aur tum nahi jante.

          Iss liye bandon ko chahiye ki agar apni khwahish ke mutabik koi chiz na mil sake to hargiz naraz na ho balki ye soch kar sabr karen ki ham iss chiz ke layiq hi nahi the iss liye hame khuda ne nahi diya vo alim va khadir hai vo khub janta hai ki kon kis chiz ka ahal hai aur kon ahal nahi hai.

               Iss Ke Altaf To Hai Aam Shahidi Saab Par 
               Tujh Se Kai Jid Thi? Agar Tu Kisi Khabil Hota

Betiyan: Iss zamane me dekha gaya hai ki baaz log betiyon ki paidayish se chidte hain aur muh bigad lete hain balki baaz bad nasib to ul ful bak kar kufrane nemath ke gunah me mubtala ho jate hain. bazeh rahe ki betiyon ki paidayish par muh bigad kar naraz ho jana ye zamanaye zahiliyyat ke kuffar ka manhus tariqa hai. Chunanche, Allah Tala ka irshad hai ki.
     
Sahibe Avlad Aur Banj
Sahibe Avlad Aur Banj
  Tarjuma e Kanzul Imaan

                    Aur jab in me kisi ko beti hone ki khush khabari di jati hai to din bhar uss ka muh kala rahta hai aur vo gussa khata hai logon se chupta firta hai iss bisharath ki burayi ke sabab kai ise zillath ke saath rakhega? Ya ise mitti me daba dega are bahut hi bura hukum lagate hain.

          Khub samaj lo ki musalmano ka islami tarikha ye hai ki betiyon ki paidayish par bhi khush ho kar allah tala ki iss nemath ka shukr ada kar aur mundrijaye zail hadison ki bisharath par imaan rakh kar saAdate darain ki karamaton se sarfaraz ho.

          Huzur Sallallahu alaihi o sallam ne mundrijaye zail hadise irshad farmayi hai:

1. Aurath ke liye ye bahut hi mubarak hai ki uss ki pahli avlad ladki ho.

2. Jis shaqs ko kuch betiyan mili aur vo un ke saath nek suluk kare yahan tak ki kumfu me un ki shadi kar de to vo betiyan uss ke liye jahannam se ada ban jayengi.

3. Huzur Alaihis Salam ne farmaya ki tum log betiyon ko bura mat samajho, iss liye ki mai bhi chand betiyon ka baap hun.

4. Jab koi ladki paida hoti hai to Allah Tala farmata hai ki ye ladki! tu zamin par utar. Main tere baap ki madad karunga.
On 11:20:00 AM by shayarkishayari in    No comments

Healthy Hair Growth Tips|Balon Ko Badane ka Gharelu Ilaj

Iss niche diye gaye gharelu illa se app ke Balon me chamak ajayegi aapke Baal girna band hojayen ge iss healthy hair growth ke tarikhe se app ke Balon badne lagen ge aur aapke Baal kale aur ghane rahen ge.
Healthy Hair Growth Tips|Balon Ko Badane ka Gharelu Ilaj

Healthy Hair Growth Tips|Balon Ko Badane ka Gharelu Ilaj



Healthy Hair Growth Tips| Balon Ko Badane ka Gharelu Ilaj

          1. Amar'Bel:

250Gram Amarbel Ko lagbhag 3Liter pani me ubalen. Jab pani Aadha rah jaye to ise utar len.Subah isse balon ko dhoyen. Isse Bal Lambe hote hain.

          2. Trifla:

Trifla ke 2 se 6gram churn me lagbhag 1gram ka chotha hissa loh bhasm milakar subah sham sevan karne se balon ka jhadna band ho jata hai.

          3.Kalonji:

50gram Kalonji 1Liter pani me ubal len. Iss ubale huve pani se balon ko dhoyen isse bal 1 mahine me hi kafi lambe ho jate hain. 

          4. Neem:

Neem  aur Ber ke Patte ko pani ke saath piskar sir par laga len aur iske 2-3 ghanton ke baad balon ko dho dalen. Isse balon ka jhadna kam ho jata hai aur bal lambe bhi hote hain.

          5. Lahsun:

Lahsun ka ras nikaal kar sir me lagane se bal ugg ate hain.

          6. Sitafal:

Sitafal ke binj aur Ber ke binj ke patte barabar hisse me lekar piskar balon ki jadon me lagayen. Yesa karne se bal lambe hojate hain.

          7. Aam:

10gram Aam ki Giri ko Avle ke ras me piskar balon me lagana Chahiye. Isse bal lambe aur dhudrale ho jate hain.

          8. Shikakaiy:

Shikakaiy aur sukhe Avle ko 25-25gram lekar thodasa kutkar iske tukde kar len. In tukdon ko 500gram pani me raath ko dalkar bhigo den. Subah iss pani ko kapde ke saath maslkar chan len aur isse sir ki malish karen. 10-20 minute bad nahalen. Iss tarha shikakaiy aur avlon ke pani se sir ko dhokar aur balon ke sukhne par nariyal ka tel lagane se bal lambe, Mulayam aur chamkdar ban jate hain garmiyon me ye prayog sahi rahta hai. Isse baal safed nahi hote agar baal safed ho bhi jaate hain to vo kale ho jate hain.

          9. Muli:

Aadhi se 1 Muli rozana dopahar me khana-khane ke baad, Kalimirch ke saath namak lagakar khane se balon ka rang saaf hota hai aur baal lambe bhi ho jate hain. Iska Istemal 3-4 Mahine tak lagatar karen. 1 Mahine tak iska sevan karne se khabz,Afara aur Aruchi me aram milta hai.

Note: Muli jiske liye faydemand ho vahi iska istemal kar sakte hain.

          10. Avla:

Sukhe Avle aur mehandi ko Barabar hisse me le kar sham ko pani me bhigo den.Isse Balon ko dhoye. Iska prayog lagatar kayi dino tak karne se baal mulayam aur lambe ho jayenge.

          11. Kakadi:

Kakadi me Silicon aur salfar bahuth rahata hai jo balon ko badate hain. kakadi ke ras se balon ko dhone se tatha kakadi, gajar  aur palak sabko milakar ras pine se bal badte hain. Agar Ye sab Na ho to jo bhi mile uska ras milakar pi len. Isse nakhoon girna bhi band ho jata hai.

          12. Ritha:

Kapur kachri 100gram, Nagarmotha 100gram, Kapur aur Rithe ke fal ki giri 40-40 gram, Shikakaiy 250gram aur Avle 200gram ki barabar hisse me le kar sabhi ka churn taiyar kar len. Is mishran ke 50 gram churn me pani milakar lugdi(Lep) banakar balon me lagana chahiye. Isske pashshat balon ko garam pani se khoob saaf kar len. Isse sir ke andar ki Jun-Likken mar jati hain aur bal mulayam ho jate hai.

Righa,Avla,Shikakaiy tino ko milane ke baad bal dhone se bal silki, chamakdar, Rusi-rahit aur ghane ho jate hain.

          

On 3:22:00 AM by shayarkishayari in    No comments
karbala

Bagh Jannat Ke Hain Behr Madha Khan-e-Ahelbait

Tum ko Mujda Naar ka Aye dushmanan-e-Ahelbait


Kis Zaban se ho bayan Izzo Shane-e-Ahelbait


Madha go-ye Mustafa hai,Madha Khan-e-Ahelbait


Unki paaki ka Khuda-e-paak karta hay bayan


Aya-e-Tatheer se Zahir hay Shan-e-Ahelbait

Apna soda Baich kar Bazaar Soona kar gaee


Kon si Basti basaee Tajran-e-Ahelbait


Razm ka Maidan bana hay jalwa gahe Husn-o-Ishq


Karbala main ho raha Imtehan-e-Ahelbait


Phool Zakhmo kay Khilae hai Hawae dost nay


Khoon say Seencha gaya hai Gulsatan-e-Ahelbait


Jumma ka Din hay kitab-ezeest kit eh kar kay aaj


Khailtey hay jan par Shezadgan-e-Ahelbait


Aey shabab-e-fasl gul yeh chal gai kaisi hawa


Kat raha hay lelehata bostan-e-Ahelbait


Kis shaqi ki hay hakumat ha-ee kiya andhair hay


Din dehare lut raha hay Karwan-e-Ahelbait


Kushk ho ja khak ho kar khak main mil ja Furat


Khak tujh par,daikh to Sookhi zaban-e-Ahelbait


Teri qudrat janwar tak aab say serab hoo


Auo piyas ki shidat main tarpy bayzuban-e-Ahelbait


Qafla salar manzil ko chaly hay sonp kar

Waris bay Warisa ko karwan-e-Ahelbait


Fatima kay laadly ka aakhri didar hay


Hashr ka Hangama barpa hay mayan-e-Ahelbait


Waqt akhir keh raha hay khak main milta suhag


Ke loo Salam aakhri aay bewgan-e-Ahelbait


Inke ghar mein be ijazat Jibrael aate nahi


Qadr wale jante hain Qadr Shane-e-Ahelbait


Be Adab Gustaakh Firke Ko Sunade Ae Hasan


Youn Kaha Karte Hai Sunni Daastaan e Ahle Bayth
On 9:33:00 AM by shayarkishayari   No comments


Mulk-e-Shaam Ka Dusra Safar.....


Huzur E Akdasصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم BUSHRA Ke Bazar Me Bahut Jald Tijarat Ka Maal Farowkht Kar Ke Makkah Mukarrama Wapis Aaye.

Wapsi Me Jab Aap Ka Kafila Saher E Makkah Me Dakhil Hone Laga To Hazrat E BIBI Kahdeejah Radi’ALLAHU Tala Anha Ek Bala Khaana (Makan Ki Chhat) Par Baithi Huvi Kafile Ki aamad Ka Manzar Dekh Rahe The.

Jab Aap Ki Nazar Huzurصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Par Padhi to Inhone Dekha Ki Do Farishte Aapصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ke Sar Par Dhoop Se Saya Kiye Huve Hai.

Hazrat Khadeejah Radi’ALLAHU Tala Anha Ke Kalb Par Is Noorani Manzar Ka Ek Khaas Asar Huva Aur Woh Firt E Akidat Se Intihayi Walehana Muhabbat Ke Sath Ye Haseen Jhalwe Dekhte Rahe. Fir Apne Gulam Maisra Se Inhone Kayi deen Ke Ba’ad is Ka Zikr Kiya To Maisra Ne Batay Ki Me To Pure Safar Me Yahi Manzar Dekhta Raha Hu.

Aur Is Ke Alawa Bahut Se Ajeeb-wa-Gareeb Bato Ka Mushahida Kiya Hai. Fir Maisra Ne Nastoora Raheeb Ki Guftagu Aur Iski akeedat wa Muhabbat Ka Tazkeerah Bhi Kiya Ye Sun Kar Bibi Khadeejah Radi’ALLAHU Tala Anha Ko Aap S be panah Kalbi Ta’alluk Aur Be Had Akeedat Wa Muhabbat Ho gayi Aur Yaha Tak In Ka Dil Jhuk Gaya ke Unhe Aapصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Se Nikah Ki Ragbat Ho Gayi..

📙(Madarijjunnabuwat-2, Baab-2 Shafa 27)

AZEEM MERI ZUBAN KAHA ?

AUR KAHA WO ZAAT...

NAAM MERA UNKE ZIKR SE CHAMKA RAHA HU ME....

AAP صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم KE
NIKAH.......


Hazrat Bibi Khadeejah Radi’ALLAHU Ta’ala Anha Maal wa Doulat Ke Sath Intihayi Shareef Aur Pakeezah Khatoon The.

Ahle Makkah In Ki Paak Damni Aur Parsayi Ki Wajah se In Ko TAHERA(Pakizah) Kaha Karte The.

In Ki Umr Chalees (40) Saal Ki Ho Chuki Thi Pahele In Ka Nikah Abu Hala Bin Zurah Tamimi Se Huva Tha Aur In Se Do Ladke ‘Hind Bin abu Hala’ Aur ‘Hala Bin Abu hala’ Paida Ho chuke The.

Abu Hala Bin Zurah Ke Inteqal Ke baad Hazrat E Khadeejah Ne Dusra Nikah ‘Ateeq Bin Aabid Makhzoomi’ Ke Sath Kiya.

In se Bhi Do Aowlade Huvi,
Ek Ladka ‘Abdullah Bin Ateeq’
Aur Ek ladki ‘Hind Bint E Ateek’.

Hazrate Khadeejah Radi’ALLAHU Tala Anha Ke Dusre Sohar ‘Ateeq’ Ka Bhi Inteqal Ho chukka Tha,
Bade Bade Sardaran E Qurraish In Ke Sath Akd E Nikah Ke Khwahish Mand The Lekin Inhone Sab Ka Paigam Ko Thukra Diya.

Magar Huzur E Akdas Ke Paygambarana Akhlaaq Wa Aadat Ko Dekh Kar Aur Aapصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ke Hairat Angez Halat (Is Se Paheli POST Me Aagaya Who 2-Safar E Shaam Ke Halat)
Ko Sun Kar yaha Tak In Ka Dil Aap Ki Taraf Mayil Ho Gaya Ke Khud Ba Khud In Ke Kalb Me Aap Se Nikah Ki Ragbat Paida Ho Gayi.

Yaha To Bade Bade Maldaaro Aur Saher E Makkah Ke Sardaro Ke Paygamo Ko Rad Kar Chuki Thi Aur Ye Te’y Kar Chuki Thi Ke Ab Chalees Baras Ki Umr Me Tisra Nikah Nahi Karugi Aur Khud Hi Huzurصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ki PhuPhi Safiyya Radi’ALLAHU Tala Anha Ko Bulaya Jo In Ke Bhai Awwam Bin Khuwaild Ki Biwi Thi In Se Huzurصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ke Kuchh Zati Halat Ke Bare Me Mazed Ma’alumat Hasil Ki.

Fir ‘NAFISA Bint E Ummaiya’ Ke Zariye Khud Hi Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ke Pas Nikah Ka Paigam Bheja.

Mash’hoor IMAAM E Seerat Muhammad Bin Ishaaq Ne Likha Hai Ki Is Rishte Ko Pasand Karne Ki Jo Wajah Khadeejah RadiALLAHU Tala Anha Ne Khud Huzurصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Se Bayan Ki Hai Who Khud In Ke Alfaaz Me Ye Hai ‘ ’ Yaani Me Ne Aapصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ke Achhe Akhlaq Aur Aap Ki Sachchayi Ki Wajah Se Aap Ko Pasand Kiya .

📔 (Zurkani Alal Mawahib-1,Shafa 200)

Huzurصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ne Is Rishte Ko Apne Chacha Abu Talib Aur Khandaan Ke Dusre Bade Buzurgo Ke Samne Pesh Farmaya...

Bhala Hazrat e Khadeejah Radi’ALLAHU Tala Anha Jaisi Paak Daman, Shareef,
Akalmand, Aur Maldaar Auwrat se Shadi Karne Ki Koun NA Kaheta..?

Sare Khandaan Walo Ne Nihayat Khushi Ke Sath Is Rishte Ko Manzoor Kar Liya.
Aur Nikah Ki Tareekh Mukarrar Huvi Aur Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Hazrat Hamzah RadiALLAHU Tala Anhu Aur Abu Talib Wagairah Apne Chachauo Aur Khaandan Ke Dusre Afrad Aur Bani Hashim Ke Buzurgo,
Aur Muzar Ke Sardaaro Ko Apni Barat Me LeKar Hazrat E Bibi Khadeejah Radi’ALLAHU Tala Anha Ke Makan Par Tashreef Le Gaye Aur Nikah Huva.

Is Nikah Ke Waqt Abu Talib Ne Nihayat Hi Fasih wa Balig Kutba Pardha.
Is Khutbe Se Bahut Achhi Tarah Is Baat Ka Andaza Ho Jata Hai Ki Aelaan-e-Nabuwwat Se Pahele Aapصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ke Khandaan Ke Bade buzurgo Ka Aap Ke Muta’allek Kaisa Khayal Tha Aur Aap Ke Akhlaq Wa Aadat Ne In Logo Par Kaisa Asar Dala Tha.

Is Khutbe Ka Tarjuma Padhe


Tamam Ta’areefe Is Khuda Ke Liye Jis Ne Ham Logo Ko Hazrat Ibrahim Alyhissalaam Ki Nasl Aur Hazrat Ismaail Alyhissalaam Ki Aouwlad Me Banaya Aur Ham Ko AMMAD Aur MUZAR Ke Khandaan Me Paida Farmaya Aur Apne Ghar(Kaaba) Ka Nigehbaan Aur Apne Haram Ka Muntazeem Banaya Aur Ham Ko Ilm wa Hikmat Wala Ghar Aur Amn Wala Haram Ata Farmaya Aur Ham Ko Logo Par Hakim Banaya.

Yeh Mere Bhai Ka Farzand ‘MUHAMMAD BIN ABDULLAH’ Hai.
Ye Ek Aise Jawaan Hai Ki Kurraish Ke Jis Shakhsh Ka Bhi Is Ke Sath Misaal Rakhi Jaye Is Se Har Shaan Me Bardha Huva Hi Rahega.

Ha Maal In K Paas Kam Hai Lekin M aal To Ek Dhalti Huvi Chhanw Aur Adal-Badal Hone Wali Cheez Hai.

Amm’a Ba'ad..!!

Mera Bhatija MUHAMMADصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Who Shakhsh Hai Jis Ke Sath Meri Karabat Aur Kurbat-o-Muhabbat Ko Tum Log Achhi Tarah Jante Ho.

Wo Khadeejah Binte Khuwaild Radi’ALLAHU Tala Anha Se Nikah Karta Hai Aur Mere Maal Me Se Bees(20) UNT (camel) Maher Mukarrar Karta He Aur Is Ka Mustakbeel Bahut Hi Tabnaq(Roshan),
Azimush’shan Aur Jalil-ul-qadr Hai’.

📚 (Zurkani Alal Mawahib-1, S.201)

📬Continue.....
On 11:37:00 AM by shayarkishayari   No comments



Siyria Ka Pahela Safar Aur Buhaira Raheeb(PADRI)....!!


Huzur E Akdasﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ Ki Umr Shareef Barah(12) Baras Ki Huvi
To Is Wakt Abu-Talib Ne Tijarat Ki Garz Se Mulk E Shaam Ka Safar Kiya.

Abu Talib Ko Chunke Huzurﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ Se Bahut Hi Walehana Muhabbat Thi,
Is Liye Who Aap Ko Bhi Is Safar Me Apne Hamrah Le Gaye.


Huzur E Akdasﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ Ne Aielaan-e-Nabuwwat Se Kabl Teen Bar Tijarati Safar Farmaya.

Do(2) Martaba Mulk E Shaam
Aur 1 Martaba Yaman Tashreef Le Gaye,

Ye Mulk E Shaam Ka Pahela Safar Hai Is Ke Douwran ‘Bushra’ Me ‘Buhaira’ Rahib (Isayi Padari) Ke Paas Aap Ka Kayam Huva,

Is Ne Towrat wa Injheel Me Bayan Ki Huvi NABI Aakhruzzama Ki Nishaaniyo Se Aapﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ Ko Dekhte Hi Pahechan Liya Aur Bahut Akeedat Aur Aehtaram Ke Sath Is Ne Aap Ke Kafile walo Ko Daawat Ki Aur Abu Talib Se Kaha Ke Ye Sare Jaha’n Ke Sardar Aur Rabb-ul-Aalmeen Ke Rasool Hai,

Jin Ko Khuda Ne Rah’Metul’lil’Aalmeen Bana Kar Bheja Hai.

Maine Dekha Hai Ki shajar wa Hajar (Ped aur Pathhar) In Ko Sajdah Karte Hai Aur Badal In Par Saya Karta Hai,

In Ke Dono Kandho Ke Bich ‘MOHAR-e-NABUWWAT’ Hai.
Is Liye Tumhare Aur In Ke Haq Me Yahi Bahetar Hoga Ki Ab Tum In Ko Le Kar Aage Na Javo Aur Apna Maal e Tijarat Yahi Farowkht Kar Ke Bahut Jald Makka’h Mukarrama Chale Javo.

Kyu Ki Mulk e Shaam Me Yahudi Log In Ke Bahut Bade Dushman Hai,
Waha Pahunchte Hi Log In Ko shaheed Kar Dalenge.

Buhaira Raheeb Ke Kahene Se Abu Talib Ko Khatra Mahesoos Hone Laga,

Chunanche Inhone Wahi Apni Tijaarat Ka Maal Farowkht Kiya Aur Bahut Jald Huzurﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ Ko Apne Sath Le Kar Makka’h Mukarrama Wapis Aa Gaye.

Buhaira Raheeb Ne Chalte Waqt Intihaayi Akeedat Ke Sath Aap Ko Safar Ka Kuchh Toshaa Bhi Diya.

📘(Tirmizi Shareef, Jild-2 Baab : Ma-JAA-Fi Bad’e NabuwatunNABIﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ .)

NABIﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ Ke Wasile Se Sab Ko Da’awat :

Ab Jara 12 Saal ki Umr Shareef Me NABIﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ Ki Shaan e paak Ko Mulahiza Kare…

Chunanche Jab
Buhaira Rahib Ne NABIﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ Ki Aamad Ki Khoshi Me Pure Kafile Ko Da’awat Di To Sab Logo Ko Bulaya Sare Log Jama Huve,
Huzur Sallallahu Tala Alyhi Wasallamﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ Jab Aaye Or Ek Jagah Par Baithe To 1 Ped Aap Ki JABEEB Jhuk Gaya Or Jaha Aap Baithe The Waha Saaya Kar Diya,

Logo Ne Dekha Ki MUHAMMADﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ Jaha Baithe Hai Waha To Saya Hai,

To Sare Log Wahi Aakar Baithne Lage, Aap Ko Alag Kar Diya,

Aap Dusri Jagah Par Baith Gaye To Waha Bhi 1 Ped Aap Ke Saamne Jhuk Kar Saaya Kar Diya,

Dusre Log Dhup Me The Who Ye Dekh Kar Aap Ke Nazdeek Aa gaye Aur Aapko Pare Hata Diya Aap Door Ja Kar Baith Gaye,

To Jo Ped Jhuke Huve The Who Uth Gaye Fir Se, Or Fir se Sare Log Dhup Me Aa gaye,

Idhar Buhaira raheeb Sab Ke Liye Khana Le Kar Aaya To Dekha Ki MUHAMMADﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ Kahi Nazar Nahi Aa Rahe,

Logo Se Puchha Ki Who Kaha Hai,
Logo Ne Sara Majhra Bataya To Buhaira Raheeb Kahene Laga Ki Javo MUHAMMADﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ Ko Le Kar Aa Wo Yeh Da’awat To Un Hi Ke Liye Banayi Gayi Hai,

Are Tum Sab To Unke Wasile Se Kha Rahe Ho,

Agar Who Na Aaye To Hargeez Tum Ko Yeh Da’awat Na Milegi.
(SUBHAN’ALLAH)

Fir Aapﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ Ko Nihaayat Adab Ke Sath Bulaya Or Unchi Jagah Par Bitha Kar Sab se Pahele Aap Ko Da’awat Pesh Ki Gayi Baad me Sab Ne Khaya…!!



ALLAH…!!
ALLAH…!!

Zara Shaan E Mustufaﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ Ko Dekho Pyare..!

Abhi Elan E Nabuwawwat Nahi Kiya Hai,

12 Saal Ki Umr Shareef Hai Magar Shaan-o-Aezaaz Yeh Hai Ki Aap Ke Naam Par Logo Ke Hujhum Ko Khaana Khilaya Ja Raha Hai,

Ped Aap Ke samne Jhuk Jate Hai, Pathhar Aapko Sajda Karta Hai …

SUBHANALLAH

Mulk-e-Shaam Ka Dusra Safar.....


Huzur E Akdasصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ki Umr Shareef Takreeban Pachchis(25) Saal Ki Huvi To Aap Ki Amanat wa sadakat (ImaanDari wa Sachhayi) Ka Charcha Dur Dur Tak Pahunch Chuka Tha,

Hazrat E Khadeejah Radi’ALLAHU Tala Anha Makkah Ke Ek Bahut Hi Maaldaar Aurat The,

In Ke Shohar Ka Inteqaal Ho Chuka Tha,
In Ko Zarurat Thi Ki Koi Amanat Daar Aadmi Mil Jaye To Is Ke Sath Apni Tijarat Ka Maal wa Samaan Mulk E Shaam Bheje.

Chunanche In Ki Nazar e Intekhaab Ne Is Kaam Ke Liye Huzur E Kareemصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم o Muntakhib Kiya Aur Kahela Bheja Ke Aapصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Mera Maale Tijarat Le Kar Muilk E Shaam Jaye Jo Mu’Avza Me Dusro Ko Deti Hu Aap صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ki Amanat wa Diyanat Dari Ki Bina Par Me Aap Ko Is Ka Dugana Dungi.

Huzurصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ne In Ki Darkhwast Manzoor Farmali Aur Tijarat Ka Maal wa samaan Le Kar Mulk E Shaam Ko Rawana Ho Gaye.

Is Safar Me Hazrat E Khadeejah Radi’ALLAHU Tala Anha Ne Apne Ek Khaas Gulaam ‘Maisra’ Ko Aap صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ke Sath Rawana Kar Diya Ta Ke Who Aap Ki Kheedmat Karta Rahe.

Jab Aapصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Mulk E Shaam Ke Mashahoor Sahar ‘Bushra’ Ke Bazar Me Pahunche To Waha ‘Nastoora’ Raheeb(Paadri) Ki khaanqaah Ke Kareeb Me Thahere.

Nastoora Maisra Ko Bahut Pahele Se Jaanta Pahechanta Tha. Huzurصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ka Chahera Mubarak Dekhte Hi Nastoora Maisra Ke Paas Aaya Aur Dariyaft Kiya Ke Ae Maisra ! Yeh Kon Shakhsh Hai Jo Is Darkht Ke Niche Utre Hai.? Maisra Ne Jawab Diya Ke Yeh Maakah Ke rahene Wale Hai Aur Khaandane Banu Hashim Ke Chashmo Cheerag Hai In Ka Naam ‘MUHAMMAD’ Aur Lakab ‘AMEEN’ Hai.

Nastoora Ne Kaha Ke Siwaye NABI Ke Is Darakht Ke Niche Aaj Tak Kahbi Koi Nahi Utra,
Is Liye Mujhe Yakeene Kamil Hai Ki ‘NABI AAKHRUZZAMA’ Yahi Hai.

Kayu Ke Aakhiri Nabi Nabi Ki Tamaam nishaniya Jo Mai Ne TOWRAIT wa INJHEEL Me Padhi Hai Woh sab Me In Me Dekh Raha Hu. Kaash !

Me Is Wakt Zindaah Raheta Jab Yah Apni NABUWWAT Ka Ae’Alan Karenge To Me In Ki Bharpoor Madad Karta Aur Puri Jaa’n-Nisari Ke Sath in Ki Kheedmat Guzari Me Apni Tamaam Umr Guzar Deta.

Ae Maisra!!
Me Tum Ko Nasihat Aur Wasiyyat Karta Hu Ke Khabar Daar !!
Ek Lamhe Ke Liye Bhi Tum In Se Juda Na Hona Aur Intihayi Khulus Wa Akeedat Ke Sath In Ki Kheedmat Karte Rahena Kyu Ki ALLAH Ta’ala Ne In Ko

‘KHATIMUNNABIYYIN’ Hone ka Sarf Ata Farmaya Hai.

📬Continue.....